qalam ke mazdur likh rahe hain
Interesting Fact
(Funun, Lahore, June, 1973)
jo ḳhuun saḌkoñ pe bah rahā thā jo zulm insān sah rahā thā
qalam ke mazdūr likh rahe the
qalam ke mazdūr likh rahe the ki mehnatoñ ke muāvze meñ
aziim mehnat-kashoñ ke me.adoñ meñ sirf faaqe bhare hue haiñ
aur un ke ajsām-e-āhanīñ par faqat libās-e-barahnagī hai
aur un ke bachchoñ kī tarbiyat ke liye madāris khule hue haiñ
jahālat-o-jurm ke madāris
aur un ko rahne ko tang tirchhe tavīl fōtpath
har saḌak par bichhe hue haiñ
aur un ke amrāz duur karne ko gorkan musta.id khaḌe haiñ
qalam ke mazdūr likh rahe the
qalam ke mazdūr likh rahe haiñ
aur un kī tahrīr-e-tar kā har harf
muntaqim vaqt paḌh rahā hai
jo KHun saDkon pe bah raha tha jo zulm insan sah raha tha
qalam ke mazdur likh rahe the
qalam ke mazdur likh rahe the ki mehnaton ke muawze mein
azim mehnat-kashon ke meadon mein sirf faqe bhare hue hain
aur un ke ajsam-e-ahanin par faqat libas-e-barahnagi hai
aur un ke bachchon ki tarbiyat ke liye madaris khule hue hain
jahaalat-o-jurm ke madaris
aur un ko rahne ko tang tirchhe tawil footpath
har saDak par bichhe hue hain
aur un ke amraaz dur karne ko gorkan mustaid khaDe hain
qalam ke mazdur likh rahe the
qalam ke mazdur likh rahe hain
aur un ki tahrir-e-tar ka har harf
muntaqim waqt paDh raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.