Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qasam

Vafa Barahi

qasam

Vafa Barahi

MORE BYVafa Barahi

    qasam khātā huuñ maiñ hindostāñ shān-o-shaukat

    qasam khātā huuñ himmat dilerī shujā.at

    qasam khātā huuñ ai bhārat tirī aglī hikāyat

    qasam khātā huuñ ai ġhairat tirī pur-josh jur.at

    ki apnī azmat-e-ḳhufta ko nezoñ se jagā dūñgā

    maza be-jā jasārat harīfoñ ko chakhā dūñgā

    ġhazab bijliyāñ ban kar muḳhālif ko jalā dūñgā

    na.ī duniyā nayā aalam na.ī bastī basā dūñgā

    qasam khātā huuñ bhārat ke javānoñ javānī

    qasam khātā huuñ maiñ sub.h-e-vatan shādmānī

    qasam khātā huuñ maiñ fat.h-o-zafar kāmrānī

    qasam khātā huuñ maiñ gang-o-jaman bhī ravānī

    sipāhī sūrmā ban kar abhī maidāñ meñ jaatā huuñ

    kamar meñ teġh-e-hindī haath meñ neza uThātā huuñ

    kamāñ ko khīñchtā huuñ baan arjun chalātā huuñ

    ġharaz yuuñ dushmanoñ ke ḳhuun naddī bahātā huuñ

    qasam khata hun main hindostan ki shan-o-shaukat ki

    qasam khata hun himmat ki dileri ki shujaat ki

    qasam khata hun ai bhaarat teri agli hikayat ki

    qasam khata hun ai ghairat teri pur-josh jurat ki

    ki apni azmat-e-KHufta ko nezon se jaga dunga

    maza be-ja jasarat ka harifon ko chakha dunga

    ghazab ki bijliyan ban kar muKHalif ko jala dunga

    nai duniya naya aalam nai basti basa dunga

    qasam khata hun bhaarat ke jawanon ki jawani ki

    qasam khata hun main subh-e-watan ki shadmani ki

    qasam khata hun main fath-o-zafar ki kaamrani ki

    qasam khata hun main gang-o-jaman ki bhi rawani ki

    sipahi surma ban kar abhi maidan mein jata hun

    kamar mein tegh-e-hindi hath mein neza uThata hun

    kaman ko khinchta hun ban arjun ka chalata hun

    gharaz yun dushmanon ke KHun ki naddi bahata hun

    Source:

    Sharar-e-Fitrat (Pg. 47)

    • Author: Vafa Barahi
      • Publisher: Ishaat Ghar, Patna
      • Year of Publication: 1952
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now