Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qatra-qatra

Fahmida Riaz

qatra-qatra

Fahmida Riaz

MORE BYFahmida Riaz

    qatra-qatra dil meñ aañsū girte haiñ

    ik aañsū us shaḳhs jo begāna hai

    ik aañsū us naam jo ham le na sake

    ik aañsū us duā jo puurī na huī

    ek fuzūl baat ki jo be-sūd kahī

    aañsū merā ḳhvāb maiñ jis se ghabrā.ūñ

    aañsū merī murād jise maiñ bhulā.ūñ

    ik aañsū us chehre jo yaad rahe

    āñkhoñ ke raste jo dil meñ utar jaa.e

    ik aañsū us Thahre-Thahre lahje

    ik aañsū us vahm zehn meñ jo aayā

    ik aañsū us jhuuT jo auroñ se kahā

    phīkī hañsī se kaise qissa ḳhatm kiyā

    lamha-lamha raat guzartī jaatī hai

    qatra-qatra dil meñ aañsū girte haiñ

    qatra-qatra dil mein aansu girte hain

    ek aansu us shaKHs ka jo begana hai

    ek aansu us nam ka jo hum le na sake

    ek aansu us dua ka jo puri na hui

    ek fuzul si baat ki jo be-sud kahi

    aansu mera KHwab main jis se ghabraun

    aansu meri murad jise main bhulaun

    ek aansu us chehre ka jo yaad rahe

    aankhon ke raste jo dil mein utar jae

    ek aansu us Thahre-Thahre lahje ka

    ek aansu us wahm ka zehn mein jo aaya

    ek aansu us jhuT ka jo auron se kaha

    phiki hansi se kaise qissa KHatm kiya

    lamha-lamha raat guzarti jati hai

    qatra-qatra dil mein aansu girte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now