Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qatra qatra tishnagi

Saba Ikram

qatra qatra tishnagi

Saba Ikram

MORE BYSaba Ikram

    kuñvāre khet merī ḳhvāhishoñ ke

    tishnagī dhuup meñ

    jalte haiñ

    siim aur thuur māyūsī ke

    kaale qahr sūrat

    lahū ek ik qatra

    ragoñ se chūste jaate haiñ

    piile mausamoñ chup

    banī hai bhaag rekhā

    ki sadiyoñ se paḌā hai qaht gītoñ

    jo fasl kaTte vaqt gaatī haiñ

    thiraktī nāchtī

    bastī bālā.eñ

    yahāñ sadiyoñ se barkhā-rut ko

    jīvan har ik lamha

    tarastā hai

    yahāñ khetoñ ke lab papḌiyoñ par

    tishnagī

    qatra qatra bas Tapaktā hai

    kunware khet meri KHwahishon ke

    tishnagi ki dhup mein

    jalte hain

    sim aur thur mayusi ke

    kale qahr ki surat

    lahu ka ek ek qatra

    ragon se chuste jate hain

    pile mausamon ki chup

    bani hai bhag ki rekha

    ki sadiyon se paDa hai qaht giton ka

    jo fasl kaTte waqt gati hain

    thirakti nachti

    basti ki baalaen

    yahan sadiyon se barkha-rut ko

    jiwan ka har ek lamha

    tarasta hai

    yahan kheton ke lab ki papDiyon par

    tishnagi ka

    qatra qatra bas Tapakta hai

    Source:

    AURAAQ (Pg. 41)

    • Author: Wazir Agha, Sajjad Naqvi
      • Edition: April, May 1982
      • Publisher: Auraaq Chauk, Urdu Bazar, Lahore
      • Year of Publication: April, May 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now