Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qaumi git

Shamim Karhani

qaumi git

Shamim Karhani

MORE BYShamim Karhani

    ham kaam ke naġhme gaate haiñ be-kār tarāna kyā jāneñ

    jo sirf amal ke bande haiñ vo baat banānā kyā jāneñ

    rag rag meñ lahū ko garmāte jaate haiñ vatan jai gaate

    ham ahd-e-javānī ke maate būḌhoñ zamāna kyā jāneñ

    tūfān meñ kashtī khete haiñ kohsār se Takkar lete haiñ

    ham jañg meñ sar de dete haiñ ham paañv haTānā kyā jāneñ

    bigḌoñ ko banāne aa.e haiñ ġhurbat ko miTāne aa.e haiñ

    ham aag bujhāne aa.e haiñ ham aag lagānā kyā jāneñ

    dīvār vo kaale zindāñ tasvīr vo zulm insāñ

    shāhid hai hamāre armāñ ham jaan churānā kyā jāneñ

    vo husn-o-javānī rāteñ vo kaif-o-tarannum bāteñ

    vo la.al-o-gohar barsāteñ ham log manānā kyā jāneñ

    iflās ke maare bandoñ ke kis tarah bilakte haiñ bachche

    jo dekh rahe haiñ āñkhoñ se vo jashn manānā kyā jāneñ

    vo aur haiñ jo karte haiñ sitam ḳhud shaad haiñ duniyā mahv-e-alam

    ham zaḳhm pe rakhte haiñ marham ham zaḳhm lagānā kyā jāneñ

    be-ḳhauf chale sañgīnoñ par aur rok golī sīnoñ par

    likkhā hai hamārī jabīnoñ par ham sar jhukānā kyā jāneñ

    hum kaam ke naghme gate hain be-kar tarana kya jaanen

    jo sirf amal ke bande hain wo baat banana kya jaanen

    rag rag mein lahu ko garmate jate hain watan ki jai gate

    hum ahd-e-jawani ke mate buDhon ka zamana kya jaanen

    tufan mein kashti khete hain kohsar se Takkar lete hain

    hum jang mein sar de dete hain hum panw haTana kya jaanen

    bigDon ko banane aae hain ghurbat ko miTane aae hain

    hum aag bujhane aae hain hum aag lagana kya jaanen

    diwar wo kale zindan ki taswir wo zulm insan ki

    shahid hai hamare arman ki hum jaan churana kya jaanen

    wo husn-o-jawani ki raaten wo kaif-o-tarannum ki baaten

    wo lal-o-gohar ki barsaten hum log manana kya jaanen

    iflas ke mare bandon ke kis tarah bilakte hain bachche

    jo dekh rahe hain aankhon se wo jashn manana kya jaanen

    wo aur hain jo karte hain sitam KHud shad hain duniya mahw-e-alam

    hum zaKHm pe rakhte hain marham hum zaKHm lagana kya jaanen

    be-KHauf chale sanginon par aur rok li goli sinon par

    likkha hai hamari jabinon par hum sar ka jhukana kya jaanen

    Source:

    Urdu Me.n Qaumi Shayri ke 100 Saal (Pg. E-301 B-304)

      • Edition: 1959
      • Publisher: Parkashan Shakha Mohkam-e-Ittilaat, U. P.
      • Year of Publication: 1959
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now