qiston mein KHwab

Ain Rashid

qiston mein KHwab

Ain Rashid

MORE BYAin Rashid

  maiñ jab chhoTā thā

  to chalte chalte ḳhvāb dekhā kartā thā

  aksar maiñ sirf ḳhvāb dekhne ke liye chaltā thā

  sub.h ko dopahar ko shaam ko

  raat ko gahrī niiñd sotā thā

  jo gahrī niiñd sote haiñ vo ḳhvāb nahīñ dekhte

  saare ḳhvāboñ markazī kirdār maiñ huā kartā thā

  magar mere qarībī aur pyāre log bhī us meñ shāmil rahte the

  mere ḳhvāb tavīl aur manzūm hote the

  aur maiñ aksar un meñ tarmīm kiyā kartā thā

  kuchh ḳhvāb jo dil ko na bhāte the

  unheñ chhoḌ kar na.e ḳhvāb shurūāt kartā thā

  ab maiñ raat bhar

  aur ḳhaas kar sub.h ko

  qistoñ meñ ḳhvāb dekhtā huuñ

  adh-jale ḳhvāb

  kuchh ḳhvāboñ se najāt miltī hai

  to ḳhush ho jaatā hai

  saare ḳhvāb jaane pahchāne hote haiñ

  mānūs ḳhvāb

  tafsīlī ḳhvāb

  kuchh ḳhvāb roza-marra tafsīloñ se vāzeh

  kuchh suhāne ḳhvāb jab ruk jaate haiñ

  to unheñ dekhne nākām koshish kartā huuñ

  ḳhvāb ḳhud nahīñ dohrāte

  an-dekhe ḳhvāb

  ab ḳhvāboñ duniyā meñ haiñ

  main jab chhoTa tha

  to chalte chalte KHwab dekha karta tha

  aksar main sirf KHwab dekhne ke liye hi chalta tha

  subh ko dopahar ko sham ko

  raat ko gahri nind sota tha

  jo gahri nind sote hain wo KHwab nahin dekhte

  sare KHwabon ka markazi kirdar main hi hua karta tha

  magar mere qaribi aur pyare log bhi us mein shamil rahte the

  mere KHwab tawil aur manzum hote the

  aur main aksar un mein tarmim kiya karta tha

  kuchh KHwab jo dil ko na bhate the

  unhen chhoD kar nae KHwab ki shuruat karta tha

  ab main raat bhar

  aur KHas kar subh ko

  qiston mein KHwab dekhta hun

  adh-jale KHwab

  kuchh KHwabon se najat milti hai

  to ji KHush ho jata hai

  sare KHwab jaane pahchane hote hain

  manus KHwab

  tafsili KHwab

  kuchh KHwab roza-marra ki tafsilon se wazeh

  kuchh suhane KHwab jab ruk jate hain

  to unhen dekhne ki nakaam koshish karta hun

  KHwab KHud nahin dohraate

  an-dekhe KHwab

  ab KHwabon ki duniya mein hain

  related content

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 2-3-4 December 2022 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate, New Delhi

  GET YOUR FREE PASS
  Speak Now