Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raegani ki bashaarat

Qasim Yaqub

raegani ki bashaarat

Qasim Yaqub

MORE BYQasim Yaqub

    havā ne kunj-e-gum-gashta meñ aa ke

    merī palkoñ par jamī vīrāniyoñ ḳhaak ko jhāḌā

    aur apnī shabnam afshānī se merī bāñjh palkoñ ko

    guhar-bārī meñ badlā

    ye samajhtī hai

    maiñ us ke haath meñ uñglī thamā kar

    phir kisī nā-dīda parbat ke safar zid karūñgā

    tā-abad ham-rāh phiruñgā

    vaqt ik disposable rishte sūrat hai

    jo istimāl hotā hai

    basar hotā nahīñ...

    mujhe takmīl sarhad pe ke rā.egānī bashārat ga.ī hai

    maiñ jo reza reza malba bantī ābādī nauha-ḳhvāñ huuñ

    mere haath ḳhvāhish

    qalam se, phuul pattī banānā chāhtī hai...

    magar maiñ malbe īñToñ gintī kar rahā huuñ

    ghar ke vīrāne meñ baiThā

    yaad aane vaale lamhoñ ko

    bhulāne ke liye dohrā rahā huuñ

    hawa ne kunj-e-gum-gashta mein aa ke

    meri palkon par jami viraniyon ki KHak ko jhaDa

    aur apni shabnam afshani se meri banjh palkon ko

    guhar-bari mein badla

    ye samajhti hai

    main us ke hath mein ungli thama kar

    phir kisi na-dida parbat ke safar ki zid karunga

    ta-abad ham-rah phirunga

    waqt ek disposable rishte ki surat hai

    jo istimal hota hai

    basar hota nahin

    mujhe takmil ki sarhad pe la ke raegani ki bashaarat di gai hai

    main jo reza reza malba banti aabaadi ka nauha-KHwan hun

    mere hath ki KHwahish

    qalam se, phul ki patti banana chahti hai

    magar main malbe ki inTon ki ginti kar raha hun

    ghar ke virane mein baiTha

    yaad aane wale lamhon ko

    bhulane ke liye dohra raha hun

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    raegani ki bashaarat Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now