Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat ka aaKHiri pahar

Beena goindi

raat ka aaKHiri pahar

Beena goindi

MORE BYBeena goindi

    raat āḳhirī pahar bhī

    raḳht-e-safar bāñdh rahā hai

    mere kamre meñ ḳhāmoshī aur tārīkī

    do būḌhī saheliyoñ tarah ek dūsre meñ gum haiñ

    maiñ haath meñ garm chaa.e pyālī liye

    soch rahī huuñ ki mujhe kyā sochnā chāhiye

    kyā use

    jo merā kuchh bhī nahīñ

    to phir use kyā sochnā

    chalo apne mustaqbil ke raushan ḳhvāb

    āñkhoñ meñ zinda karte haiñ

    magar ḳhvāb

    kyā un ta.abīr vāqa.ī raushan hogī

    kise ḳhabar hai

    achānak kaise murġhe āvāz aa.ī

    aur mujhe yuuñ lagā jaise

    us ne duur se kisī ko pukārā ho

    pukār

    maiñ ne aisā kyoñ sochā

    kyā mere siine meñ bhī koī pukār dafn hai

    nahīñ chhoḌo

    aur phir bahut se murġhe chillāne lage

    jaise kisī bichhḌe hue mātam kar rahe hoñ

    uf phir kyā ḳhayāl aayā

    maiñ un āvāzoñ ko vasl giit bhī to kah saktī thī

    mujhe ye āvāzeñ nauha kyoñ lagīñ

    kyā mere andar bhī kisī se bichhaḌne ġham pinhāñ hai

    nahīñ to

    mujhe kisī se bichhaḌne ġham kyoñ kar huā

    are

    koī kuttā bhauñkā

    maiñ ne khiḌkī se bāhar jhāñkā

    añdherā duur tak

    aur añdhere se mujhe phir kuchh yaad aayā

    añdherā añdherā

    vo bhī to apne māhaul ko

    añdherā kahā kartā hai naañ

    vo vo

    lekin nahīñ

    mujhe use nahīñ sochnā

    to phir

    soch rahī huuñ ki mujhe kyā sochnā chāhiye

    raat ka aaKHiri pahar bhi

    raKHt-e-safar bandh raha hai

    mere kamre mein KHamoshi aur tariki

    do buDhi saheliyon ki tarah ek dusre mein gum hain

    main hath mein garm chae ki pyali liye

    soch rahi hun ki mujhe kya sochna chahiye

    kya use

    jo mera kuchh bhi nahin

    to phir use kya sochna

    chalo apne mustaqbil ke raushan KHwab

    aankhon mein zinda karte hain

    magar KHwab

    kya un ki tabir waqai raushan hogi

    kise KHabar hai

    achanak kaise murghe ki aawaz aai

    aur mujhe yun laga jaise

    us ne dur se kisi ko pukara ho

    pukar

    main ne aisa kyon socha

    kya mere sine mein bhi koi pukar dafn hai

    nahin chhoDo

    aur phir bahut se murghe chillane lage

    jaise kisi bichhDe hue ka matam kar rahe hon

    uf phir kya KHayal aaya

    main un ki aawazon ko wasl ka git bhi to kah sakti thi

    mujhe ye aawazen nauha kyon lagin

    kya mere andar bhi kisi se bichhaDne ka gham pinhan hai

    nahin to

    mujhe kisi se bichhaDne ka gham kyon kar hua

    are

    koi kutta bhaunka

    main ne khiDki se bahar jhanka

    andhera dur tak

    aur andhere se mujhe phir kuchh yaad aaya

    andhera andhera

    wo bhi to apne mahaul ko

    andhera kaha karta hai nan

    wo wo

    lekin nahin

    mujhe use nahin sochna

    to phir

    soch rahi hun ki mujhe kya sochna chahiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now