raat ke jadu sahar ke aaine se
al-hazar
raat ke jaadū
sahar ke aa.ine se
naឳhl-e-hairat par chahaktī bulbuloñ se
ūñghtī galiyoñ meñ bahtī tīrgī se
sabz saa.e ke jilau meñ
narm qadmoñ se zamīñ ko gudgudÄtÄ« naddiyoñ se al-hazar
said kab se hai ye duniyÄ Älam-e-Ä«jÄd kÄ«
shakl pahchÄnÄ« nahīñ jaatÄ« kisÄ« bhÄ« yaad kÄ«
áž³halq hotÄ« haiñ anokhÄ« sÅ«rateñ uftÄd kÄ«
sab vahÄ« kuchh hai magar lagtÄ hai jaise vo nahīñ
kuchh anokhÄ aur kuchh kuchh sÄniya hai kuchh kahīñ
aur agar sab kuchh vahÄ« hai to savÄd-e-shahr meñ
dhuup kÄ« mÄ«ThÄ« chubhan kyoñ phuul muskÄtÄ« nahīñ
sÄñvle saa.e se kyoñ din kÄ« mahak jaatÄ« nahīñ
raat aatÄ« hai to kyoñ tÄrÄ«k ho paatÄ« nahīñ
yuuñ gumÄñ hotÄ hai
jaise kho chuke haiñ ham vo áž³hvÄb
jis ke hone se shu.Å«r-e-dosh-o-fardÄ thÄ hameñ
jis ke hone se yaqīñ thÄ apne hone kÄ hameñ
kho chuke haiñ ham vo áž³hvÄb-e-dil-nashīñ
aur koī sūrat palaT jaane kī ab mumkin nahīñ
so hameñ zanjÄ«r honÄ hÄ« hai is tanhÄ.Ä« kÄ
jis ne andhÄ kar diyÄ hai fasl-e-gul kÄ aa.ina
jis ne paidÄ kar diyÄ hai áž³huuñ meñ ik be-nÄm Dar
al-hazar
al-hazar raat ke jaadū sahar ke aa.ine se al-hazar
al-hazar
raat ke jadu
sahar ke aaine se
naKHl-e-hairat par chahakti bulbulon se
unghti galiyon mein bahti tirgi se
sabz sae ke jilau mein
narm qadmon se zamin ko gudgudati naddiyon se al-hazar
said kab se hai ye duniya aalam-e-ijad ki
shakl pahchani nahin jati kisi bhi yaad ki
KHalq hoti hain anokhi suraten uftad ki
sab wahi kuchh hai magar lagta hai jaise wo nahin
kuchh anokha aur kuchh kuchh saniya hai kuchh kahin
aur agar sab kuchh wahi hai to sawad-e-shahr mein
dhup ki miThi chubhan kyon phul muskati nahin
sanwle sae se kyon din ki mahak jati nahin
raat aati hai to kyon tarik ho pati nahin
yun guman hota hai
jaise kho chuke hain hum wo KHwab
jis ke hone se shuur-e-dosh-o-farda tha hamein
jis ke hone se yaqin tha apne hone ka hamein
kho chuke hain hum wo KHwab-e-dil-nashin
aur koi surat palaT jaane ki ab mumkin nahin
so hamein zanjir hona hi hai is tanhai ka
jis ne andha kar diya hai fasl-e-gul ka aaina
jis ne paida kar diya hai KHun mein ek be-nam Dar
al-hazar
al-hazar raat ke jadu sahar ke aaine se al-hazar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.