Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat ke pichhle pahar

Shakeb Jalali

raat ke pichhle pahar

Shakeb Jalali

MORE BYShakeb Jalali

    shaam se thī fazā meñ kisī jalte hue kapḌe bisāñd

    aur havā chaltī thī jaise

    us ke zaḳhmī hoñ qadam

    dīda-e-mahr ne anjāne ḳhatar se muḌ kar

    jaate jaate baḌī hasrat se ka.ī baar zamīñ ko dekhā

    lekin is sabz lakīr

    is daraḳhtoñ harī baaḌ ke paar

    kuchh na paayā koī sho.ala na sharār

    aur phir raat ke tannūr se ublā paanī

    tīrgiyyoñ siyah favvārā

    dekhte dekhte tasvīr har ek chiiz dhundlāne lagī

    duur tak kaale samundar humaktī lahreñ

    hāñpte sīnoñ mānind karāñ-tā-karāñ phail ga.iiñ

    aur jab raat paḌī

    siskiyāñ ban ga.iiñ jhoñkoñ sadā

    dam-ba-ḳhud ho ga.e us vaqt dar-o-bām

    jaise aahaT kisī tūfāñ sunā chāhte hoñ

    āñhkeñ mal mal ke charāġhoñ lavoñ ne dekhā

    lekin is sabz lakīr

    is daraḳhtoñ harī baaḌ ke paar

    kuchh na paayā koī sho.ala na sharār

    raat ke pichhle pahar

    nā-gahāñ niiñd se chauñkī jo zamīn

    is ke hoñToñ pe thī ġhamnāk karāh

    karb-añgez karāh

    us ke siine pe ravāñ

    boot lohe ke gumakte hue boot

    jis tarah kāñch chādar pe luḌhaktī huī patthar sileñ

    har qadam ek na.ī chīḳh janam letī thī

    ḳhaak se dād-e-sitam letī thī

    sham hi se thi faza mein kisi jalte hue kapDe ki bisand

    aur hawa chalti thi jaise

    us ke zaKHmi hon qadam

    dida-e-mahr ne anjaane KHatar se muD kar

    jate jate baDi hasrat se kai bar zamin ko dekha

    lekin is sabz lakir

    is daraKHton ki hari baD ke par

    kuchh na paya koi shoala na sharar

    aur phir raat ke tannur se ubla pani

    tirgiyyon ka siyah fawwara

    dekhte dekhte taswir har ek chiz ki dhundlane lagi

    dur tak kale samundar ki humakti lahren

    hanpte sinon ki manind karan-ta-karan phail gain

    aur jab raat paDi

    siskiyan ban gain jhonkon ki sada

    dam-ba-KHud ho gae us waqt dar-o-baam

    jaise aahaT kisi tufan ki suna chahte hon

    aanhken mal mal ke charaghon ki lawon ne dekha

    lekin is sabz lakir

    is daraKHton ki hari baD ke par

    kuchh na paya koi shoala na sharar

    raat ke pichhle pahar

    na-gahan nind se chaunki jo zamin

    is ke honTon pe thi ghamnak karah

    karb-angez karah

    us ke sine pe rawan

    boot lohe ke gumakte hue boot

    jis tarah kanch ki chadar pe luDhakti hui patthar ki silen

    har qadam ek nai chiKH janam leti thi

    KHak se dad-e-sitam leti thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now