aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat ki aziyyat

Muneer Niyazi

raat ki aziyyat

Muneer Niyazi

MORE BYMuneer Niyazi

    raat behad chup hai aur us añdherā sharmagīñ

    shaam paḌte damakte the jo rañgoñ ke nagīñ

    duur tak bhī ab kahīñ un nishāñ miltā nahīñ

    ab to baḌhtā aa.egā ghanghor bādal chaah

    us meñ bahtī aa.egī ik madh-bharī mīThī sadā

    dil ke suune shahr meñ gūñje naġhma chaah

    raat ke parde meñ chhup kar ḳhuuñ rulātī chāhto

    is qadar kyuuñ duur ho mujh se zarā ye to kaho

    mere paas aa kar kabhī merī kahānī bhī suno

    siskiyāñ letī havā.eñ kah rahī haiñ ''chup raho''

    raat behad chup hai aur us ka andhera sharmagin

    sham paDte hi damakte the jo rangon ke nagin

    dur tak bhi ab kahin un ka nishan milta nahin

    ab to baDhta aaega ghanghor baadal chah ka

    us mein bahti aaegi ek madh-bhari miThi sada

    dil ke sune shahr mein gunje ga naghma chah ka

    raat ke parde mein chhup kar KHun rulati chahto

    is qadar kyun dur ho mujh se zara ye to kaho

    mere pas aa kar kabhi meri kahani bhi suno

    siskiyan leti hawaen kah rahi hain chup raho

    Source:

    kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 74)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now