Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat ki rani

Salam Sandelvi

raat ki rani

Salam Sandelvi

MORE BYSalam Sandelvi

    koī dekhe to zarā raat raanī jamāl

    ruḳh pe ġhāze mahak itr meñ ālūda libās

    allah allāh ye hai phuul bhī kitnā ḳhud-bīñ

    husn-o-ra.anā.ī kis darja ise hai ehsās

    marmarīñ rang subuk jism dahan chhoTā

    lambī gardan kisī mai-kash surāhī jaise

    shāḳh-e-nāzuk pe chamaktā hai shab-e-rangīñ meñ

    kisī TuuTe hue taare tajallī jaise

    din ke auqāt meñ ye phuul nahīñ khiltā hai

    raat ke vaqt iThlātā hai ye sīmīñ-tan

    shab ke parde meñ kartā hai ye ārā.ish-e-ruḳh

    is zulfoñ se mahak uThte haiñ gulzār-o-chaman

    din meñ dekhe to koī us pareshāñ-hālī

    chehra utrā huā ḳhāmosh fasurda muñh band

    koī doshīza hai jo rahtī hai din meñ ġhamgīñ

    shab ke aate ye ho jaatī hai lailā ḳhursand

    din meñ ye malgaje kapḌoñ meñ nazar aatī hai

    raat meñ kartī hai ārā.ish-e-zulf-o-ruḳhsār

    din meñ rahtī hai ye nāzūra-e-gul parde meñ

    raat ke vaqt dikhātī hai javānī bahār

    apne āshiq se mulāqāt ḳhātir dam-e-shab

    kunj-e-gulshan meñ pasand aa.ī rihā.ish is ko

    mujh ko is phuul pe shīrīñ gumāñ hotā hai

    apne farhād se hai vasl ḳhvāhish is ko

    koi dekhe to zara raat ki rani ka jamal

    ruKH pe ghaze ki mahak itr mein aaluda libas

    allah allah ye hai phul bhi kitna KHud-bin

    husn-o-ranai ka kis darja ise hai ehsas

    marmarin rang subuk jism dahan chhoTa sa

    lambi gardan kisi mai-kash ki surahi jaise

    shaKH-e-nazuk pe chamakta hai shab-e-rangin mein

    kisi TuTe hue tare ki tajalli jaise

    din ke auqat mein ye phul nahin khilta hai

    raat ke waqt hi iThlata hai ye simin-tan

    shab ke parde hi mein karta hai ye aaraish-e-ruKH

    is ki zulfon se mahak uThte hain gulzar-o-chaman

    din mein dekhe to koi us ki pareshan-haali

    chehra utra hua KHamosh fasurda munh band

    koi doshiza hai jo rahti hai din mein ghamgin

    shab ke aate hi ye ho jati hai laila KHursand

    din mein ye malgaje kapDon mein nazar aati hai

    raat mein karti hai aaraish-e-zulf-o-ruKHsar

    din mein rahti hai ye nazura-e-gul parde mein

    raat ke waqt dikhati hai jawani ki bahaar

    apne aashiq se mulaqat ki KHatir dam-e-shab

    kunj-e-gulshan mein pasand aai rihaish is ko

    mujh ko is phul pe shirin ka guman hota hai

    apne farhad se hai wasl ki KHwahish is ko

    Source:

    Barg-o-Bar (Pg. 72)

    • Author: Salam Sandelvi
      • Publisher: Naseem Book Depot, Lucknow
      • Year of Publication: 1976

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now