Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raazi-nama

Injeel Saheefa

raazi-nama

Injeel Saheefa

MORE BYInjeel Saheefa

    raat ke kaale badan pe sitāre Tāñkne mashq

    apnī ruuh par paivand lagāne jaisī mushkil nahīñ hotī

    āsmān se laTaktī shāḳhoñ par

    mannatoñ ke dhāge kab tak bāñdhe sakte haiñ

    bujhe hue ko.ele aur giilī lakḌī chiñgārī nahīñ pakaḌte

    soī huī sard mohabbat ne karvaT badal hai

    charāġh le kar safar par nikalne vaalī titlī ko

    chaudah din purāne chāñd se kyā ġharaz

    bahtī huī saḌkoñ se apnā rāsta chun lenā

    aur āvāzoñ meñ se apne hisse āvāz sun lenā

    āsmān ke bas meñ kab hai

    us ke juzdān meñ lipTī sahīfe jaisī raat nāzil ho ga.ī hai

    saat suroñ meñ bahtā raat ye pahlā pahar aur

    kin-min barastā tumhārā narm ehsās

    bārish ke baa.eñ gaal par rakhā huā hai

    aag bārish bolī bol rahī hai

    september gyārahvīñ raat hai

    saḌak silvaToñ par aThkheliyāñ letī mohabbat ko

    bārish ke paanī se bā-vazū daraḳhtoñ ne sajda kar liyā hai

    raat ke kale badan pe sitare Tankne ki mashq

    apni ruh par paiwand lagane jaisi mushkil nahin hoti

    aasman se laTakti shaKHon par

    mannaton ke dhage kab tak bandhe ja sakte hain

    bujhe hue koele aur gili lakDi chingari nahin pakaDte

    soi hui sard mohabbat ne karwaT badal li hai

    charagh le kar safar par nikalne wali titli ko

    chaudah din purane chand se kya gharaz

    bahti hui saDkon se apna rasta chun lena

    aur aawazon mein se apne hisse ki aawaz sun lena

    aasman ke bas mein kab hai

    us ke juzdan mein lipTi sahife jaisi raat nazil ho gai hai

    sat suron mein bahta raat ka ye pahla pahar aur

    kin-min sa barasta tumhaara narm ehsas

    barish ke baen gal par rakha hua hai

    aag barish ki boli bol rahi hai

    september ki gyarahwin raat hai

    saDak ki silwaTon par aThkheliyan leti mohabbat ko

    barish ke pani se ba-wazu daraKHton ne sajda kar liya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now