Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

radio

Balraj Komal

radio

Balraj Komal

MORE BYBalraj Komal

    hamāre munne ko chaah thī radio ḳharīdeñ

    ki ab hamāre yahāñ farāġhat raushnī thī

    maiñ apnī derīna tañg-dastī dāstāñ us ko kyā sunātā

    uThā ke le aayā tañg-o-tārīk koTharī se

    qalīl tanḳhvāh ke chihoḌe hue nivāle

    aur un meñ merī

    nahīf biivī ne apnī do-chār bāqī-māñda shikast-āmez ārzūoñ ḳhuun Daalā

    na jaane kab se thā pyāre munne ne radio ye ḳhvāb paalā

    ye ek hafte baat hai aur kal se munnā ye kah rahā hai

    ye jānvar sub.h-o-shām be-kār boltā hai

    muhīb ḳhabroñ zahr gītoñ meñ gholtā hai

    galī meñ koī faqīr aa.e to us ko de do

    mujhe ikannī mor le do

    hamare munne ko chah thi radio KHariden

    ki ab hamare yahan faraghat ki raushni thi

    main apni derina tang-dasti ki dastan us ko kya sunata

    uTha ke le aaya tang-o-tarik koThari se

    qalil tanKHwah ke chihoDe hue niwale

    aur un mein meri

    nahif biwi ne apni do-chaar baqi-manda shikast-amez aarzuon ka KHun Dala

    na jaane kab se tha pyare munne ne radio ka ye KHwab pala

    ye ek hafte ki baat hai aur kal se munna ye kah raha hai

    ye jaanwar subh-o-sham be-kar bolta hai

    muhib KHabron ka zahr giton mein gholta hai

    gali mein koi faqir aae to us ko de do

    mujhe ikanni ka mor le do

    Source:

    Lambi Barish (Pg. 48)

    • Author: Balraj Komal
      • Edition: 2002
      • Publisher: Sahitya Akademi, New Delhi
      • Year of Publication: 2002
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now