rakhwala sher
jangal kā rakhvālā sher
sab kā dekhā bhālā sher
hāthī gaiñDā is se ḳhush
chītā bhālū is se ḳhush
bandar totā bhī raazī
sāras kavvā bhī raazī
sab kā hī matvālā sher
jangal kā rakhvālā sher
jangal is ko bahut pasand
dekhe ye na har jā gand
kaam sabhī ke aa.e ye
pahlū nahīñ dikhā.e ye
jangal hī kā paalā sher
jangal kā rakhvālā sher
rahe kahāñ ranjīda ye
rahtā hai sanjīda ye
bhūkā gar rah jaa.e ye
kisī se maañg na khaa.e ye
yuuñ na paa.e nivāla sher
jangal kā rakhvālā sher
ḳhush-hālī sukh chain baḌā
jangal kā qānūn kaḌā
sab kī baat ye suntā hai
faisla tab hī kartā hai
gorā hai na kaalā sher
jangal kā rakhvālā sher
kahnā is kā māneñ sab
is ko raajā jāneñ sab
sab ke dil meñ rahtā hai
ġhaur kare jo kahtā hai
sune to sab kā naala sher
jangal kā rakhvālā sher
maano ik din aa.ī yahāñ
hirnī us ko laa.ī yahāñ
chītā shaah ko DhūñDe phir
aur gayā thā phir ye gir
bolā aap kī ḳhāla sher
jangal kā rakhvālā sher
jangal ka rakhwala sher
sab ka dekha bhaala sher
hathi gainDa is se KHush
chita bhaalu is se KHush
bandar tota bhi raazi
saras kawwa bhi raazi
sab ka hi matwala sher
jangal ka rakhwala sher
jangal is ko bahut pasand
dekhe ye na har ja gand
kaam sabhi ke aae ye
pahlu nahin dikhae ye
jangal hi ka pala sher
jangal ka rakhwala sher
rahe kahan ranjida ye
rahta hai sanjida ye
bhuka gar rah jae ye
kisi se mang na khae ye
yun na pae niwala sher
jangal ka rakhwala sher
KHush-haali sukh chain baDa
jangal ka qanun kaDa
sab ki baat ye sunta hai
faisla tab hi karta hai
gora hai na kala sher
jangal ka rakhwala sher
kahna is ka manen sab
is ko raja jaanen sab
sab ke dil mein rahta hai
ghaur kare jo kahta hai
sune to sab ka nala sher
jangal ka rakhwala sher
mano ek din aai yahan
hirni us ko lai yahan
chita shah ko DhunDe phir
aur gaya tha phir ye gir
bola aap ki KHala sher
jangal ka rakhwala sher
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.