Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rakhi

MORE BYFauzia Mughal

    yūñhī dekhūñ jo rākhī ko to ye rangīn Dorā hai

    jo dekhūñ ġhaur se is ko to hai zanjīr lohe

    jo baḌh kar qaid kar letī hai aafat apne bhaa.ī

    musībat haqīqat kyā

    musībat aa nahīñ saktī

    musībat kaañp jaatī hai

    jo rākhī dekh letī hai

    kisī bhaa.ī ke haath meñ

    rākhī ke dhāge meñ

    bahan ne pyaar bāñdhā hai

    itihās meñ rākhī hai rishta bhaa.ī bahnoñ

    havāla is meñ poshīda hai sadiyoñ ke rishtoñ

    bañdhā hai pyaar is meñ bahan

    aur us ke purkhoñ

    rākhī

    nibhānā laaj rākhī mire bhayyā

    bahan maan rakh lenā

    bañdhā kar haath meñ rākhī bahan se

    har koī bhaa.ī

    bahan ke sukh ke vāste

    tayyār ho jaatā hai marne ko

    magar bhayyā

    tumhārī zindagī to

    bahan ko dil se pyārī hai

    salāmat tum raho

    bhagvān se bintī hamārī hai

    jo chāho neg tum denā

    to mujh ko ye vachan de do

    na uThe phir koī dīvār nafrat

    bahan bhaa.ī ke āñgan meñ

    nahīñ byopār kuchh is meñ

    ye ik vyahvār hai bhayyā

    nahīñ hai kachchā ye Dorā

    tirā e.atibār hai bhayyā

    yunhi dekhun jo rakhi ko to ye rangin Dora hai

    jo dekhun ghaur se is ko to hai zanjir lohe ki

    jo baDh kar qaid kar leti hai aafat apne bhai ki

    musibat ki haqiqat kya

    musibat aa nahin sakti

    musibat kanp jati hai

    jo rakhi dekh leti hai

    kisi bhai ke hath mein

    rakhi ke dhage mein

    bahan ne pyar bandha hai

    itihas mein rakhi hai rishta bhai bahnon ka

    hawala is mein poshida hai sadiyon ke rishton ka

    bandha hai pyar is mein bahan ka

    aur us ke purkhon ka

    rakhi

    nibhana laj rakhi ki mere bhayya

    bahan ka man rakh lena

    bandha kar hath mein rakhi bahan se

    har koi bhai

    bahan ke sukh ke waste

    tayyar ho jata hai marne ko

    magar bhayya

    tumhaari zindagi to

    bahan ko dil se pyari hai

    salamat tum raho

    bhagwan se binti hamari hai

    jo chaho neg tum dena

    to mujh ko ye wachan de do

    na uThe phir koi diwar nafrat ki

    bahan bhai ke aangan mein

    nahin byopar kuchh is mein

    ye ek wyahwar hai bhayya

    nahin hai kachcha ye Dora

    tera eatibar hai bhayya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now