Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rangon ka tyauhaar hai aaya

Sitvat Rasool

rangon ka tyauhaar hai aaya

Sitvat Rasool

MORE BYSitvat Rasool

    rañg bharī pichkārī

    laal gulābī niile piile

    sab bachche haiñ rañg-rañgīle

    kapḌoñ par gul-kārī

    rañg bharī pichkārī

    saaf aur suthre kapḌe pahne

    guḌiyā ke haiñ chanchal gahne

    kis ne pheñkā us par rañg

    paḌ ga.ī niilī dhārī

    rañg bharī pichkārī

    ḳhushiyoñ tyauhār hai aayā

    bachchoñ nai bahrūp banāyā

    naach rahe haiñ jhuum rahe haiñ

    saḌkoñ par girdhārī

    rañg bharī pichkārī

    rang bhari pichkari

    lal gulabi nile pile

    sab bachche hain rang-rangile

    kapDon par gul-kari

    rang bhari pichkari

    saf aur suthre kapDe pahne

    guDiya ke hain chanchal gahne

    kis ne phenka us par rang

    paD gai nili dhaari

    rang bhari pichkari

    KHushiyon ka tyauhaar hai aaya

    bachchon nai bahrup banaya

    nach rahe hain jhum rahe hain

    saDkon par girdhaari

    rang bhari pichkari

    Source:

    Phuljhadiyan (Pg. 29)

    • Author: Sitvat Rasool
      • Publisher: Maktaba Payam-e-Taleem, New Delhi
      • Year of Publication: 1993

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now