Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raqqasa-e-auham

Bebak  Bhojpuri

raqqasa-e-auham

Bebak Bhojpuri

MORE BYBebak Bhojpuri

    asnām-e-imārat parastār hai aalam

    sarmāya-e-ġhaflat ḳharīdār hai aalam

    kaTtī haiñ sadā sidq maqāloñ zabāneñ

    haq-go ke liye arsa-gah-e-dār hai aalam

    darvesh-e-ḳhudā nān-e-shabīna ko hai muhtāj

    go ne.amat-o-ikrām bāzār hai aalam

    shādāb hai din-rāt ġharīboñ ke lahū se

    arbāb-e-zar-o-sīm gulzār hai aalam

    ḳhud zāhid-e-sad-sāla giraftār hai jis meñ

    vo halqa-e-tazvīr-o-fusūñ-zār hai aalam

    har gaam pe hai sho.abada-e-nafs phandā

    raqqāsa-e-auhām darbār hai aalam

    dil ḳhizr hai naġhma-e-be-mānī pe raqsāñ

    tahzīb ke pāzeb jhankār hai aalam

    is qahba-e-bāzārī se rakho na tavaqqo

    ehsān farāmosh-o-ziyāñ-kār hai aalam

    sar rakhtā hai āvāra-mizājoñ ke qadam par

    ye haq meñ vafādāroñ ke talvār hai aalam

    shā.ir ke nahīñ siine meñ gunjā.ish-e-takiya

    maanā ki bahut dilkash-o-purkār hai aalam

    is ahd-e-pur-āshob meñ 'bebāk' na pūchho

    kis darja jafā-kash-o-sitam-gār hai aalam

    asnam-e-imarat ka parastar hai aalam

    sarmaya-e-ghaflat ka KHaridar hai aalam

    kaTti hain sada sidq maqalon ki zabanen

    haq-go ke liye arsa-gah-e-dar hai aalam

    darwesh-e-KHuda nan-e-shabina ko hai muhtaj

    go neamat-o-ikram ka bazar hai aalam

    shadab hai din-raat gharibon ke lahu se

    arbab-e-zar-o-sim ka gulzar hai aalam

    KHud zahid-e-sad-sala giraftar hai jis mein

    wo halqa-e-tazwir-o-fusun-zar hai aalam

    har gam pe hai shoabada-e-nafs ka phanda

    raqqasa-e-auham ka darbar hai aalam

    dil KHizr ka hai naghma-e-be-mani pe raqsan

    tahzib ke pazeb ka jhankar hai aalam

    is qahba-e-bazari se rakho na tawaqqo

    ehsan faramosh-o-ziyan-kar hai aalam

    sar rakhta hai aawara-mizajon ke qadam par

    ye haq mein wafadaron ke talwar hai aalam

    shair ke nahin sine mein gunjaish-e-takiya

    mana ki bahut dilkash-o-purkar hai aalam

    is ahd-e-pur-ashob mein 'bebak' na puchho

    kis darja jafa-kash-o-sitam-gar hai aalam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now