raqs ki raat
raqs kī raat kisī ġhamza-e-‘uryāñ kī kiran
is liye ban na sakī rāh-e-tamannā kī dalīl
ki abhī duur kisī des meñ ik nanhā charāġh
jis se tanvīr mire sīna-e-ġham-nāk meñ hai
TimTimātā hai is andeshe meñ shāyad ki sahar ho jaa.e
aur koī lauT ke aa hī na sake
raqs kī raat koī daur-e-tarab
ban na saktā thā sitāroñ kī ḳhudā.ī gardish
mehvar-e-hāl bhī ho jāda-e-ā.inda bhī
aur donoñ meñ vo paivastagī-e-shauq bhī ho
jo kabhī sāhil-o-dariyā meñ na thī
phir bhī haa.il rahe yuuñ bu’d-e-azīm
lab hileñ aur suḳhan āġhāz na ho
haath baḌh jaa.eñ magar lāmisā be-jān rahe
tujhe mā'lūm nahīñ
ab bhī har sub.h darīche meñ se yuuñ jhāñktā huuñ
jaise TuuTe hue taḳhte se koī tīra-nasīb
saḳht tūfān meñ hasrat se ufuq ko dekhe
kaash ubhar aa.e kahīñ se vo safīna jo mujhe
is ġham-e-marg-e-tah-e-āb se āzād kare
raqs kī shab kī mulāqāt se itnā to huā
dāman-e-zīst se maiñ aaj bhī vābasta huuñ
lekin is taḳhta-e-nāzuk se ye ummīd kahāñ
ki ye chashm-o-lab-e-sāhil ko kabhī chuum sake
raqs ki raat kisi ghamza-e-‘uryan ki kiran
is liye ban na saki rah-e-tamanna ki dalil
ki abhi dur kisi des mein ek nanha charagh
jis se tanwir mere sina-e-gham-nak mein hai
TimTimata hai is andeshe mein shayad ki sahar ho jae
aur koi lauT ke aa hi na sake
raqs ki raat koi daur-e-tarab
ban na sakta tha sitaron ki KHudai gardish
mehwar-e-haal bhi ho jada-e-ainda bhi
aur donon mein wo paiwastagi-e-shauq bhi ho
jo kabhi sahil-o-dariya mein na thi
phir bhi hail rahe yun bu’d-e-azim
lab hilen aur suKHan aaghaz na ho
hath baDh jaen magar lamisa be-jaan rahe
tujhe ma'lum nahin
ab bhi har subh dariche mein se yun jhankta hun
jaise TuTe hue taKHte se koi tira-nasib
saKHt tufan mein hasrat se ufuq ko dekhe
kash ubhar aae kahin se wo safina jo mujhe
is gham-e-marg-e-tah-e-ab se aazad kare
raqs ki shab ki mulaqat se itna to hua
daman-e-zist se main aaj bhi wabasta hun
lekin is taKHta-e-nazuk se ye ummid kahan
ki ye chashm-o-lab-e-sahil ko kabhi chum sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.