Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raqs

MORE BYIshrat Afreen

    sukūt khulne lagā hai

    tanhā.ī chahchahātī hai bām-o-dar par

    maiñ apne ābā.ī ghar pichhlī shikasta sīḌhī pe sar jhukā.e

    guzishta sadiyoñ ko gin rahī huuñ

    safed aur surḳh pattharoñ makān ab

    mom ban ke mujh par Tapak rahā hai pighal rahā hai

    sabhī diye bujh chuke haiñ yaañ tāq-e-ārzū ke

    kitāb-e-rafta ke kuchh varaq bas khule hue haiñ

    ki jin mujh ko amiiñ banāyā safīr-e-shab ne

    kuchh is tarah gardish-e-mah-o-sāl namī se

    ye gal rahe haiñ

    ki in meñ ik harf bhī salāmat nahīñ milegā

    tamām ādarsh jal rahe haiñ

    aur in ke sho.aloñ raushnī meñ

    ajiib manzar ubhar rahā hai

    ye sard dālān

    is se aage ġhulām-gardish

    ye laq-o-daq sahn DevḌhiyāñ aur baḌā ahāta

    mire jilau meñ

    ye kaisī parchhā.iyāñ har samt raqs kartī guzar rahī haiñ

    ye mere aabā ke zar-ḳharīd aur ġhulām haiñ sab

    hazāroñ rūheñ ba-yak zabāñ chīḳhtī hoñ jaise

    ġhulām gardish meñ

    ghuñgrūoñ ye kaisī chham-chham baras rahī hai

    ye kaun sāzoñ pe haath rakkhe

    lahū ke aañsū hasīn poroñ se ro rahā hai

    ki jin āvāz Das rahī hai

    aur us ke pīchhe

    vo duur ḳhalvat meñ ruuh kis taras rahī hai

    yahī vo aurat hai

    jis āñkhoñ ko chūmne sitāre hasrat kareñ to ro.eñ

    ye shab ke parde meñ

    apne ḳhalvat-kade meñ kis ko bulā rahī hai

    ye kis ko aañsū dikhā rahī hai

    baḌe ahāte ke is kuñ.eñ meñ

    ye nāznīnoñ kaisī chīḳheñ haiñ

    jo muqayyad haiñ tiin nasloñ se

    aur rūheñ phaḌak rahī haiñ

    ye kaun DevḌhī meñ khāñstā hai

    ye kaun bhūkā nahīf bachcha anaaj koThiyoñ ke aage

    abhī abhī ro ke so gayā hai

    ye sar ko niyoḌhā.e kaun laḌkī

    udhar añdhere meñ ro rahī hai

    ye ek goshe meñ kaun būḌhā

    lahū meñ tar āstīñ chhupā.e

    tamām rūhoñ se muñh churā.e

    kamāñ sūrat jhukā huā hai

    laraz rahā hai

    ki mere aabā sabz miTTī shāḳhsāna

    pas-e-darīcha khulā huā hai

    ajab tamāshā lagā huā hai

    yahī makāñ haiñ

    haveliyāñ haiñ

    atā-o-jūd-o-saḳhā ke markaz

    tashaddud-o-jabr ke idāre

    ab in meñ raqsāñ haiñ zar-ḳharīd aur ġhulām saare

    sukut khulne laga hai

    tanhai chahchahati hai baam-o-dar par

    main apne aabai ghar ki pichhli shikasta siDhi pe sar jhukae

    guzishta sadiyon ko gin rahi hun

    safed aur surKH pattharon ka makan ab

    mom ban ke mujh par Tapak raha hai pighal raha hai

    sabhi diye bujh chuke hain yan taq-e-arzu ke

    kitab-e-rafta ke kuchh waraq bas khule hue hain

    ki jin ka mujh ko amin banaya safir-e-shab ne

    kuchh is tarah gardish-e-mah-o-sal ki nami se

    ye gal rahe hain

    ki in mein ek harf bhi salamat nahin milega

    tamam aadarsh jal rahe hain

    aur in ke shoalon ki raushni mein

    ajib manzar ubhar raha hai

    ye sard dalan

    is se aage ghulam-gardish

    ye laq-o-daq sahn DewDhiyan aur baDa ahata

    mere jilau mein

    ye kaisi parchhaiyan si har samt raqs karti guzar rahi hain

    ye mere aaba ke zar-KHarid aur ghulam hain sab

    hazaron ruhen ba-yak zaban chiKHti hon jaise

    ghulam gardish mein

    ghungruon ki ye kaisi chham-chham baras rahi hai

    ye kaun sazon pe hath rakkhe

    lahu ke aansu hasin poron se ro raha hai

    ki jin ki aawaz Das rahi hai

    aur us ke pichhe

    wo dur KHalwat mein ruh kis ki taras rahi hai

    yahi wo aurat hai

    jis ki aankhon ko chumne ki sitare hasrat karen to roen

    ye shab ke parde mein

    apne KHalwat-kade mein kis ko bula rahi hai

    ye kis ko aansu dikha rahi hai

    baDe ahate ke is kunen mein

    ye nazninon ki kaisi chiKHen hain

    jo muqayyad hain tin naslon se

    aur ruhen phaDak rahi hain

    ye kaun DewDhi mein khansta hai

    ye kaun bhuka nahif bachcha anaj ki koThiyon ke aage

    abhi abhi ro ke so gaya hai

    ye sar ko niyoDhae kaun laDki

    udhar andhere mein ro rahi hai

    ye ek goshe mein kaun buDha

    lahu mein tar aastin chhupae

    tamam ruhon se munh churae

    kaman ki surat jhuka hua hai

    laraz raha hai

    ki mere aaba ki sabz miTTi ka shaKHsana

    pas-e-daricha khula hua hai

    ajab tamasha laga hua hai

    yahi makan hain

    haweliyan hain

    ata-o-jud-o-saKHa ke markaz

    tashaddud-o-jabr ke idare

    ab in mein raqsan hain zar-KHarid aur ghulam sare

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now