Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rasm-e-andesha se farigh hue hum

Azar Tamanna

rasm-e-andesha se farigh hue hum

Azar Tamanna

MORE BYAzar Tamanna

    rasm-e-andesha se fāriġh hue ham

    apne dāmāñ shikan meñ simTe

    kaf-e-ayyām pur-pech lakīroñ meñ kahīñ

    apne ā.inda-e-nādīda se sahme hue ham

    gaah ijmāl-e-guzishta pe gulū-gīr hue

    jaise dhul jā.egā bechārī rivāyāt ke shānoñ ġhubār

    chand bīmār irādoñ ayādat chāhī

    gaah nāyāb duāoñ shumār

    aur taqrīr ke pechīda savālāt ko dohrāte hue

    ek ik kar ke sab ahbāb ne ruḳhsat chāhī

    rasm-e-andesha taqrīb-e-mulāqāt se fāriġh hue ham

    rasm-e-andesha kisī aur zamāne gunāh

    aur duniyāoñ jurm

    jis zanjīr-e-mukāfāt meñ uljhe hue ham

    apne ajdād ke āsār ke derīna faqīr

    kāsa-bar-dosh sar-e-dast-e-atā jaate haiñ

    maut bar-dosh sar-e-dast-e-atā jaate haiñ

    maut aur vasl ta.abīr pe sargarm-e-kalām

    apnī tārīḳh insāf bajā laate haiñ

    rasm-e-andesha tārīḳh-e-mukāfāt

    ke maare hue ham

    rasm-e-andesha se farigh hue hum

    apne daman ki shikan mein simTe

    kaf-e-ayyam ki pur-pech lakiron mein kahin

    apne aainda-e-nadida se sahme hue hum

    gah ijmal-e-guzishta pe gulu-gir hue

    jaise dhul jaega bechaari riwayat ke shanon ka ghubar

    chand bimar iradon ki ayaadat chahi

    gah nayab duaon ka shumar

    aur taqrir ke pechida sawalat ko dohraate hue

    ek ek kar ke sab ahbab ne ruKHsat chahi

    rasm-e-andesha ki taqrib-e-mulaqat se farigh hue hum

    rasm-e-andesha kisi aur zamane ka gunah

    aur duniyaon ka jurm

    jis ki zanjir-e-mukafat mein uljhe hue hum

    apne ajdad ke aasar ke derina faqir

    kasa-bar-dosh sar-e-dast-e-ata jate hain

    maut bar-dosh sar-e-dast-e-ata jate hain

    maut aur wasl ki tabir pe sargarm-e-kalam

    apni tariKH ka insaf baja late hain

    rasm-e-andesha ki tariKH-e-mukafat

    ke mare hue hum

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 77)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now