Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rasm-e-ijra

Khalid Azmi

rasm-e-ijra

Khalid Azmi

MORE BYKhalid Azmi

    tire karam karūñ shukr kis tarah se adā

    mirī umiid ko ne yaqīñ meñ badlā hai

    tire qadam se jo pur-nūr ho ga.ī mahfil

    sabhī ne sochā dhartī pe chāñd utrā hai

    tire na hone se yaañ 'ajīb manzar thā

    gumāñ guzartā ki mahfil hai soz-ḳhvānī

    baḌhe qadam jo tire merī bazm jānib

    fazā meñ phail ga.ī itr shādmānī

    tire raqīb ta.ana-zanī ke Dar se sanam

    pareshāñ-hāl thā dil aur be-qarār bhī thā

    mujhe yaqīn thā aaogī toḌ kar bandhan

    terī vafāoñ pe is darja e'tibār bhī thā

    mujhe hai faḳhr tire faisle pe jān-e-jigar

    ki ne merī mohabbat laaj rakkhī hai

    zamāne-bhar ke rivājoñ ko toḌ kar ne

    jahāñ meñ 'ishq-o-sadāqat laaj rakkhī hai

    bas ek baar tujhe dekhne ḳhvāhish thī

    ye rasm-e-ijrā mahfil to ik bahāna thā

    agar aatā nahīñ yaar merī mahfil meñ

    mujhe kitāb ke har lafz ko jalānā thā

    tere karam ka karun shukr kis tarah se ada

    meri umid ko tu ne yaqin mein badla hai

    tere qadam se jo pur-nur ho gai mahfil

    sabhi ne socha ki dharti pe chand utra hai

    tere na hone se yan ka 'ajib manzar tha

    guman guzarta ki mahfil hai soz-KHwani ki

    baDhe qadam jo tere meri bazm ki jaanib

    faza mein phail gai itr shadmani ki

    tere raqib ki tana-zani ke Dar se sanam

    pareshan-haal tha dil aur be-qarar bhi tha

    mujhe yaqin tha aaogi toD kar bandhan

    teri wafaon pe is darja e'tibar bhi tha

    mujhe hai faKHr tere faisle pe jaan-e-jigar

    ki tu ne meri mohabbat ki laj rakkhi hai

    zamane-bhar ke riwajon ko toD kar tu ne

    jahan mein 'ishq-o-sadaqat ki laj rakkhi hai

    bas ek bar tujhe dekhne ki KHwahish thi

    ye rasm-e-ijra ki mahfil to ek bahana tha

    agar tu aata nahin yar meri mahfil mein

    mujhe kitab ke har lafz ko jalana tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now