Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rasul-e-kazib

Aziz Qaisi

rasul-e-kazib

Aziz Qaisi

MORE BYAziz Qaisi

    rasūl-e-maslūb ke do hazār barsoñ ke ba.ad ye vāqi.a huā

    ye us zamāne baat hai jab rasūl-e-ḳhurshīd rās-ul-aflāk par chamaktā thā

    vo ik zamistāñ nīm-shab samāñ thā

    vo nīm-shab ik raqīq chādar na jaane kab se zamīñ ke murdār kālbad par

    paḌī huī hai aur us ke masmūm rauzanoñ se gale saḌe jism ta.affun ubal rahā hai

    shajar hajar dhund ke kafan meñ chhupī huī ḳhāmushī ke siine meñ chubh rahe the

    anāsir-e-vaqt munjamid the

    tamām rūheñ fishār-e-marqad meñ mubtilā thiiñ

    aur aise hañgām meñ ik āvāz-e-nūr afgan

    zuhūr-e-ḳhurshīd bashārat se dasht o dar ko jalā rahī thī

    hazār-hā shab-gazīdgāñ ke hujūm se maiñ ne us ko dekhā

    vo ḳhūn-e-ādam meñ apnī zinda ḳhizāñ-zada uñgliyāñ Dubo.e khaḌā thā

    hujūm se ek ik gunahgār ko bulātā aur us ke māthe pe kalma-e-sub.h likh rahā thā

    tamām murde ḳhizāñ-zada uñgliyoñ ke chhūne se jāgte the

    gunāhgār-e-nafs thā maiñ bhī

    ummīd-vār-e-shifā thā maiñ bhī

    phir us zamistāñ nīm-shab meñ hazār lamhāt shaaq guzre

    aur ek lamhe ne mere zaḳhm-e-jigar ko chhū kar kahā

    madavā-e-ġham saa.at qarīb hai

    sajda-rez ho

    ye us zamāne baat hai jab zamīn ke be-shumār murde lahū baptisma le rahe the

    lahū baptisma le rahe haiñ

    rasūl-e-ḳhurshīd sadā bhī to mar ga.ī thī kohar meñ vo kho gayā aur

    usī zamistāñ nīm-shab meñ ḳhabar milī hai

    usī shabistān-e-nūr-o-nik.hat meñ be-kafan laash par vo baiThā huā hai

    apne ḳhizāñ-zada haath se kisī ke lahū taqtīr kar rahā hai

    aur apne kaase ko bhar rahā hai

    ḳhabar milī hai,

    lahū vo ḳhurshīd lahū hai

    rasul-e-maslub ke do hazar barson ke baad ye waqia hua

    ye us zamane ki baat hai jab rasul-e-KHurshid ras-ul-aflak par chamakta tha

    wo ek zamistan ki nim-shab ka saman tha

    wo nim-shab ek raqiq chadar na jaane kab se zamin ke murdar kalbad par

    paDi hui hai aur us ke masmum rauzanon se gale saDe jism ka taffun ubal raha hai

    shajar hajar dhund ke kafan mein chhupi hui KHamushi ke sine mein chubh rahe the

    anasir-e-waqt munjamid the

    tamam ruhen fishaar-e-marqad mein mubtila thin

    aur aise hangam mein ek aawaz-e-nur afgan

    zuhur-e-KHurshid ki bashaarat se dasht o dar ko jala rahi thi

    hazar-ha shab-gazidgan ke hujum se main ne us ko dekha

    wo KHun-e-adam mein apni zinda KHizan-zada ungliyan Duboe khaDa tha

    hujum se ek ek gunahgar ko bulata aur us ke mathe pe kalma-e-subh likh raha tha

    tamam murde KHizan-zada ungliyon ke chhune se jagte the

    gunahgar-e-nafs tha main bhi

    ummid-war-e-shifa tha main bhi

    phir us zamistan ki nim-shab mein hazar lamhat shaq guzre

    aur ek lamhe ne mere zaKHm-e-jigar ko chhu kar kaha

    madawa-e-gham ki saat qarib hai

    sajda-rez ho ja

    ye us zamane ki baat hai jab zamin ke be-shumar murde lahu ka baptisma le rahe the

    lahu ka baptisma le rahe hain

    rasul-e-KHurshid ki sada bhi to mar gai thi kohar mein wo kho gaya aur

    usi zamistan ki nim-shab mein KHabar mili hai

    usi shabistan-e-nur-o-nikhat mein be-kafan lash par wo baiTha hua hai

    apne KHizan-zada hath se kisi ke lahu ki taqtir kar raha hai

    aur apne kase ko bhar raha hai

    KHabar mili hai,

    lahu wo KHurshid ka lahu hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    rasul-e-kazib Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now