Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raushni ka charagh

Anjum Azmi

raushni ka charagh

Anjum Azmi

MORE BYAnjum Azmi

    kitne parvāne jaan dene ko

    gir rahe haiñ ḳhamosh sham.oñ par

    sard rātoñ meñ zabt-e-girya se

    ashk aa aa ga.e haiñ palkoñ par

    ujḌā ujḌā ye jo kamra hai

    koī kursī na koī mez yahāñ

    copiyāñ parche aur kitābeñ sab

    in ko dīmak se maiñ bachā.ūñ kahāñ

    ek saal aur rah gayā hai ab

    ḳhatm ho jā.egī mirī ta.alīm

    ḳhaak jab dar-ba-dar chhānūñgā

    kar sakūñgā na ziist tāzīm

    bhaa.ī bahnoñ ko ḳharch denā hai

    un se va.ada bhī kar nahīñ saktā

    ādamiyyat paas hai varna

    zahr khā kar maiñ aaj so rahtā

    aaj phir diq ne merī baajī ko

    ke pardes meñ daboch liyā

    kal jo pinDī se us ḳhat aaya

    merā siina kisī ne noch liyā

    baT gayā mulk ho ga.e taqsīm

    ham-nafas aur mohabbatoñ ke amiin

    kyā isī fasl-e-gul saudā thā

    ḳhaak aur ḳhuuñ ugal rahī haiñ ruteñ

    ek dil thā jo haat se koī

    le uḌā ik nigāh ke badle

    vāh-vā ho ga.ī jahāñ bhar meñ

    kyā milā mujh ko aah ke badle

    dukh ke ehsās ke tale dab kar

    TuuT jaa.e na aaj merī lai

    kyoñ na har ġham ko rāz-dān karūñ

    merā fan to merī duniyā hai

    fan se goyā panāh miltī hai

    varna ġham abhī ilaaj kahāñ

    jis se dil bāġh-bāġh ho jaa.e

    us mohabbat hai rivāj kahāñ

    kitnī vīrān raat hai lekin

    phailtī rahī hai bū-e-vafā

    phir koī sochtā hai zulmat meñ

    raushnī charāġh gul na huā

    kitne parwane jaan dene ko

    gir rahe hain KHamosh shamon par

    sard raaton mein zabt-e-girya se

    ashk aa aa gae hain palkon par

    ujDa ujDa sa ye jo kamra hai

    koi kursi na koi mez yahan

    copiyan parche aur kitaben sab

    in ko dimak se main bachaun kahan

    ek sal aur rah gaya hai ab

    KHatm ho jaegi meri talim

    KHak jab dar-ba-dar ki chhanunga

    kar sakunga na zist ki tazim

    bhai bahnon ko KHarch dena hai

    un se wada bhi kar nahin sakta

    aadamiyyat ka pas hai warna

    zahr kha kar main aaj so rahta

    aaj phir diq ne meri baji ko

    ja ke pardes mein daboch liya

    kal jo pinDi se us ka KHat aaya

    mera sina kisi ne noch liya

    baT gaya mulk ho gae taqsim

    ham-nafas aur mohabbaton ke amin

    kya isi fasl-e-gul ka sauda tha

    KHak aur KHun ugal rahi hain ruten

    ek dil tha jo hat se koi

    le uDa ek nigah ke badle

    wah-wa ho gai jahan bhar mein

    kya mila mujh ko aah ke badle

    dukh ke ehsas ke tale dab kar

    TuT jae na aaj meri lai

    kyon na har gham ko raaz-dan karun

    mera fan hi to meri duniya hai

    fan se goya panah milti hai

    warna gham ka abhi ilaj kahan

    jis se dil bagh-bagh ho jae

    us mohabbat ka hai riwaj kahan

    kitni viran raat hai lekin

    phailti ja rahi hai bu-e-wafa

    phir koi sochta hai zulmat mein

    raushni ka charagh gul na hua

    Source:

    (Pg. 36)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now