Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raushni kam hai

Amjad Najmi

raushni kam hai

Amjad Najmi

MORE BYAmjad Najmi

    raushnī kam hai na kar us shikāyat hamdam

    raushnī kam rahe to achchhā

    shādmānī-o-ḳhushī ke hamrāh

    ik na ik ġham bhī rahe to achchhā

    dasht-o-sahrā ho ki bāġh-e-dabistāñ

    sat.h-e-dariyā ho ki chaTyal maidān

    raat har chiiz pe hai sāya-nishāñ

    raushnī kam hai añdherā ziyāda hai yahāñ

    shāh-rāhoñ ke nazāroñ pe na

    qumqumoñ nazar-afroz qatāroñ pe na

    kyūñki ik chashm-e-basīrat ke liye

    jo bhī hai pesh-e-nazar

    chashmak-e-barq hai raqs-e-sharar

    aa zarā moḌ idhar ko bhī nigāheñ apnī

    tīra-o-tār hai kitnī ye galī

    TimTimātī hai jahāñ khambe par

    ek mailī shikasta chimnī

    jis tarah naza.a meñ koī bīmār

    kab talak raushnī phailā.egī ye

    sub.h se pahle bujh jā.egī ye

    aur phir ek ghaTā-Top añdherā hogā

    is añdhere meñ bas us saverā hogā

    aa ki ham ab dil-e-insāñ bhī TaToleñ chal kar

    band haiñ ye jo darīche unheñ kholeñ chal kar

    ek do ke sivā sab haiñ siyāhī se bhare

    jaise patte shajar-e-ḳhushk meñ do-chār hare

    tīra-o-tār hai kis darja zamīr-e-insāñ

    raushnī is meñ kahāñ

    raushnī kam hai añdherā ziyāda hai yahāñ

    raushni kam hai na kar us ki shikayat hamdam

    raushni kam hi rahe to achchha

    shadmani-o-KHushi ke hamrah

    ek na ek gham bhi rahe to achchha

    dasht-o-sahra ho ki bagh-e-dabistan

    sath-e-dariya ho ki chaTyal maidan

    raat har chiz pe hai saya-nishan

    raushni kam hai andhera hi ziyaada hai yahan

    shah-rahon ke nazaron pe na ja

    qumqumon ki nazar-afroz qataron pe na ja

    kyunki ek chashm-e-basirat ke liye

    jo bhi hai pesh-e-nazar

    chashmak-e-barq hai ya raqs-e-sharar

    aa zara moD idhar ko bhi nigahen apni

    tira-o-tar hai kitni ye gali

    TimTimati hai jahan khambe par

    ek maili si shikasta chimni

    jis tarah naza mein koi bimar

    kab talak raushni phailaegi ye

    subh se pahle hi bujh jaegi ye

    aur phir ek ghaTa-Top andhera hoga

    is andhere hi mein bas us ka sawera hoga

    aa ki hum ab dil-e-insan bhi TaTolen chal kar

    band hain ye jo dariche unhen kholen chal kar

    ek ya do ke siwa sab hain siyahi se bhare

    jaise patte shajar-e-KHushk mein do-chaar hare

    tira-o-tar hai kis darja zamir-e-insan

    raushni is mein kahan

    raushni kam hai andhera hi ziyaada hai yahan

    Source:

    Joye Kahkashan (Pg. 36)

    • Author: Amjad Najmi
      • Edition: 1969
      • Publisher: Ddisha Sahitya Academy, Bhubaneswar
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now