Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raushni ki saughat

Ehtisham Akhtar

raushni ki saughat

Ehtisham Akhtar

MORE BYEhtisham Akhtar

    maiñ alfāz tohfa kāġhaz meñ lapeT kar laayā thā ki tumheñ nazr karūñgā

    vo rāste meñ bikhar gayā

    is meñ merā qusūr nahīñ

    ye to havā sharārat thī

    maiñ jo kuchh kahnā chāhtā huuñ use kāġhaz par raushnā.ī banā kar bikher detā huuñ

    mere ḳhayālāt kāġhazī haiñ

    mere alfāz kāġhazī haiñ

    merā vajūd kāġhazī hai

    maiñ ne kal shaam chaa.e chuskī lete hue sochā thā

    ki tum agar mere kāġhazī ghar ko jalā do to kyā achchhā ho

    lekin tumhārī āñkheñ to ye kahtī haiñ

    ki vo apnī raushnī se mere dīvār-o-dar sajā.eñgī

    merī rātoñ ko jagmagā.eñgī

    merī nīñdoñ par ḳhvāb ban kar chhā jā.eñgī

    lekin mujhe is par yaqīn nahīñ aatā

    kyūñki abhī tak tum ne apnī āñkhoñ ḳhvāhish ko

    alfāz jaama nahīñ pahnāyā

    maiñ to jo kuchh bhī kahnā chāhtā huuñ kāġhaz par bikher detā huuñ

    tumhāre jism meñ havā sansanātī hai

    aur tum havā tarah narm-o-nāzuk ho

    mere jism meñ bhī havā sansanātī hai

    lekin vo merī tarah bīmār aur kamzor nahīñ

    havā mujh se aksar mere tohfe chhīn letī hai

    maiñ kal phir alfāz tohfa kāġhaz meñ lapeT kar lā.ūñgā

    lekin mujhe yaqīn hai

    ki havā ye tohfa rāste meñ chhīn legī

    havā hamārī dushman nahīñ

    ye to ham donoñ sahārā hai

    ye tumheñ zindagī detī hai

    aur mujhe zinda rahne hasrat

    ye apne dāman meñ na jaane kitnī chīzeñ chhupā.e hue hai

    mere aur tumhāre ḳhāndān nāmūs

    merī aur tumhārī bātoñ afvāheñ

    jab havā bahut udaas ho to tum mere paas aanā

    maiñ tumhārī baḌī baḌī āñkhoñ meñ

    apnī ruuh raushnī bhar dūñgā

    lekin us vaqt tak maiñ būḌhā ho chukā hūñgā

    main alfaz ka tohfa kaghaz mein lapeT kar laya tha ki tumhein nazr karunga

    wo raste hi mein bikhar gaya

    is mein mera qusur nahin

    ye to hawa ki shararat thi

    main jo kuchh kahna chahta hun use kaghaz par raushnai bana kar bikher deta hun

    mere KHayalat kaghazi hain

    mere alfaz kaghazi hain

    mera wajud kaghazi hai

    main ne kal sham chae ki chuski lete hue socha tha

    ki tum agar mere kaghazi ghar ko jala do to kya hi achchha ho

    lekin tumhaari aankhen to ye kahti hain

    ki wo apni raushni se mere diwar-o-dar sajaengi

    meri raaton ko jagmagaengi

    meri nindon par KHwab ban kar chha jaengi

    lekin mujhe is par yaqin nahin aata

    kyunki abhi tak tum ne apni aankhon ki KHwahish ko

    alfaz ka jama nahin pahnaya

    main to jo kuchh bhi kahna chahta hun kaghaz par bikher deta hun

    tumhaare jism mein hawa sansanati hai

    aur tum hawa ki tarah narm-o-nazuk ho

    mere jism mein bhi hawa sansanati hai

    lekin wo meri tarah bimar aur kamzor nahin

    hawa mujh se aksar mere tohfe chhin leti hai

    main kal phir alfaz ka tohfa kaghaz mein lapeT kar launga

    lekin mujhe yaqin hai

    ki hawa ye tohfa raste hi mein chhin legi

    hawa hamari dushman nahin

    ye to hum donon ka sahaara hai

    ye tumhein zindagi deti hai

    aur mujhe zinda rahne ki hasrat

    ye apne daman mein na jaane kitni chizen chhupae hue hai

    mere aur tumhaare KHandan ki namus

    meri aur tumhaari baaton ki afwahen

    jab hawa bahut hi udas ho to tum mere pas aana

    main tumhaari baDi baDi aankhon mein

    apni ruh ki raushni bhar dunga

    lekin us waqt tak main buDha ho chuka hunga

    Source:

    Neela Aakash (Pg. 73)

    • Author: Ehtisham Akhtar
      • Publisher: Modern Publishing House, Daryaganj, New Delhi
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now