Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

registan ki dopahar

Aabid Adeeb

registan ki dopahar

Aabid Adeeb

MORE BYAabid Adeeb

    yahāñ to na peḌ hai na saaya

    na ghar hai na ghar meñ rahne vaale

    na zindagī hai na koī halchal

    yahāñ to tā-hadd-e-nazar

    dhuup dhuup hai

    ret ret hai

    dhuup dhuup hai

    tan ko jhulsātī dhuup

    aag barsātī dhuup

    dhuul uḌātī dhuup

    ret uḌātī ek dam parā.ī dhuup

    yahan to na peD hai na saya

    na ghar hai na ghar mein rahne wale

    na zindagi hai na koi halchal

    yahan to ta-hadd-e-nazar

    dhup hi dhup hai

    ret hi ret hai

    dhup hi dhup hai

    tan ko jhulsati dhup

    aag barsati dhup

    dhul uDati dhup

    ret uDati ek dam parai dhup

    Source:

    Shuwaz (Pg. 59)

    • Author: Aabid Adeeb
      • Publisher: Shahid Publications, New Delhi
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now