Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

reprisal

Hasan Alvi

reprisal

Hasan Alvi

MORE BYHasan Alvi

    isfanj numā jism phūle hue hoñge

    murda machhlī ghaas ugal degī

    ġhair mutavāzī aur ta.affun-zada ḳhaliyoñ ko

    nāmyātī zarre chabā jā.eñge

    jin se dhātī thakan kashīd jā.egī

    kyā ham nahīñ jānte

    haDDiyoñ aur nāḳhunoñ ke TukḌoñ se

    ḳhudā-e-zard-rū apnī āḳhirī jañg ke vāste

    kartōs aur gun powder banā rahā hai

    ham yaqīnan be-ḳhabar haiñ

    ḳhudā ke nathnoñ se bahtī vahshat irtikāz

    aur mirrīḳhī bāshinde chīḳh ham par TuuT paḌegī

    jīniyātī adam-e-taġhayyur ke bāvajūd paidā.eshī ma.azūr bachche ke liye

    baukhalāhaT aur bad-hai.atī mahlūl piitī huī būḌhiyāñ

    nahūsat ke avvalīñ dinoñ meñ

    black widow raal se niilī rageñ kaat rahī hoñgī

    bāñjh aurat tarāna hamārā qaumī giit hogā

    ba.ad-az-marg hone vaalī saḳhtī virus

    lams-ālūd a.azā ke shagāfoñ meñ kuud paḌegā

    nākāra jahāz ke propeller ke mānind

    phir

    adheḌ umr kisān bad-duā meñ khanakte

    mazmūm aur na.ash ḳhurda khet ke jaise

    jism jin meñ shahvat miqdār sifar hai akaḌ jā.eñge

    aur phir taḌāḳh se TuuT jā.eñge

    ham vo murdār log haiñ jo samajhte the

    hameñ synesthesia se najāt mil ga.ī thī

    isfanj numa jism phule hue honge

    murda machhli ghas ugal degi

    ghair mutawazi aur taffun-zada KHaliyon ko

    namyati zarre chaba jaenge

    jin se dhati thakan kashid ki jaegi

    kya hum nahin jaante

    haDDiyon aur naKHunon ke TukDon se

    KHuda-e-zard-ru apni aaKHiri jang ke waste

    kartoos aur gun powder bana raha hai

    hum yaqinan be-KHabar hain

    KHuda ke nathnon se bahti wahshat ka irtikaz

    aur mirriKHi bashinde ki chiKH hum par TuT paDegi

    jiniyati adam-e-taghayyur ke bawajud paidaeshi mazur bachche ke liye

    baukhalahaT aur bad-haiati ka mahlul piti hui buDhiyan

    nahusat ke awwalin dinon mein

    black widow ki ral se nili ragen kat rahi hongi

    banjh aurat ka tarana hamara qaumi git hoga

    baad-az-marg hone wali saKHti ka wirus

    lams-alud aaza ke shagafon mein kud paDega

    nakara jahaz ke propeller ke manind

    ya phir

    adheD umr kisan ki bad-dua mein khanakte

    mazmum aur nash KHurda khet ke jaise

    jism jin mein shahwat ki miqdar sifar hai akaD jaenge

    aur phir taDaKH se TuT jaenge

    hum wo murdar log hain jo samajhte the

    hamein synesthesia se najat mil gai thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now