Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

restaurant

Ahmad Nadeem Qasmi

restaurant

Ahmad Nadeem Qasmi

MORE BYAhmad Nadeem Qasmi

    restaurant meñ saje hue haiñ kaise kaise chehre

    qabroñ ke katboñ par jaise masle masle sehre

    ik sāhib jo soch rahe haiñ pichhle ek pahar se

    yuuñ lagte haiñ jaise bachcha ruuTh aayā ho ghar se

    kaafī pyālī ko laboñ tak laa.eñ to kaise laa.eñ

    baire tak se aañkh milā kar baat jo na kar paa.eñ

    kitnī sanjīda baiThī hai ye ahbāb Tolī

    kitne auj-e-balāġhat par hai ḳhāmoshī bolī

    saarī quvvat chuus chukī din bhar shahr-navardī

    māthoñ meñ se jhāñk rahī hai martī dhuup zardī

    lambī lambī palkeñ jhapke ik sharmīlī bī-bī

    bāloñ tartīb se jhalke zehn be-tartībī

    shauhar ko dekhe to lajā.e laaj ko oT banā.e

    har aane vaale par ik bharpūr nazar dauḌāye

    ik laḌkī aur tiin javān aa.e haiñ kase-kasā.e

    sāñvle ruup ko gore mulkoñ bahrūp banā.e

    bātoñ meñ naḳhvat bāġhoñ vahshat sahrāoñ

    āñkhoñ ke chūlhoñ meñ bharī hai raakh tamannāoñ

    apnī apnī uljhan sab apnī apnī raa.e

    sab ne aañsū rok rakhe haiñ kaun kise bahlā.e

    har shai par shak ho to jiinā ek sazā ban jaa.e

    mehvar maujūd na ho to gardish kis kaam aa.e

    qahqahe jaise ḳhālī bartan luḌhak luḌhak kar TūTeñ

    bahseñ jaise hoñToñ meñ se ḳhuun ke chhīñTe chhūTeñ

    husn zikr kareñ yuuñ jaise āñdhī phuul khilā.e

    fan baat kareñ yuuñ jaise baniyā sher sunā.e

    sukḌī simTī rūheñ lekin jism haiñ dohre tihre

    restaurant meñ saje hue haiñ kaise kaise chehre

    restaurant mein saje hue hain kaise kaise chehre

    qabron ke katbon par jaise masle masle sehre

    ek sahib jo soch rahe hain pichhle ek pahar se

    yun lagte hain jaise bachcha ruTh aaya ho ghar se

    kafi ki pyali ko labon tak laen to kaise laen

    baire tak se aankh mila kar baat jo na kar paen

    kitni sanjida baiThi hai ye ahbab ki Toli

    kitne auj-e-balaghat par hai KHamoshi ki boli

    sari quwwat chus chuki din bhar ki shahr-nawardi

    mathon mein se jhank rahi hai marti dhup ki zardi

    lambi lambi palken jhapke ek sharmili bi-bi

    baalon ki tartib se jhalke zehn ki be-tartibi

    shauhar ko dekhe to lajae laj ko oT banae

    har aane wale par ek bharpur nazar dauDaye

    ek laDki aur tin jawan aae hain kase-kasae

    sanwle rup ko gore mulkon ka bahrup banae

    baaton mein naKHwat baghon ki wahshat sahraon ki

    aankhon ke chulhon mein bhari hai rakh tamannaon ki

    apni apni uljhan sab ki apni apni rae

    sab ne aansu rok rakhe hain kaun kise bahlae

    har shai par shak ho to jina ek saza ban jae

    mehwar hi maujud na ho to gardish kis kaam aae

    qahqahe jaise KHali bartan luDhak luDhak kar TuTen

    bahsen jaise honTon mein se KHun ke chhinTe chhuTen

    husn ka zikr karen yun jaise aandhi phul khilae

    fan ki baat karen yun jaise baniya sher sunae

    sukDi simTi ruhen lekin jism hain dohre tihre

    restaurant mein saje hue hain kaise kaise chehre

    Source:

    Nai Nazm ka safar (Pg. 91)

    • Author: Khalilur Rahman Azmi
      • Edition: 2011
      • Publisher: NCPUL, New Delhi
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now