aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ret ka sahra

Paigham Aafaqi

ret ka sahra

Paigham Aafaqi

MORE BYPaigham Aafaqi

    jab ret sahrā dekh ke Dar jaatā hai adiib siina bhī

    vo lamhe aksar aate haiñ

    jab zehn ke saare parde aTke aTke se rah jaate haiñ

    jab shor machātī shāḳh-e-zabāñ se saare parinde mar mar ke

    gir jaate haiñ

    vo lamhe aksar aate haiñ

    jab āvāzoñ ke pinjar

    apne sūkhe sūkhe haath liye

    mere sar par chhā jaate haiñ

    aur maiñ ghabrā jaatā huuñ

    ik qabristān tanhā.ī

    ik be-ma.anī ḳhālī rasta

    aur do paañv ḳhālī ḳhālī thakī thakī chaap

    to apne-āp se bhī Dar jaatā huuñ

    jab ret sahrā dekh ke Dar jaatā hai qalam siina bhī

    vo lamhe aksar aate haiñ

    jab ret ka sahra dekh ke Dar jata hai adib ka sina bhi

    wo lamhe aksar aate hain

    jab zehn ke sare parde aTke aTke se rah jate hain

    jab shor machati shaKH-e-zaban se sare parinde mar mar ke

    gir jate hain

    wo lamhe aksar aate hain

    jab aawazon ke pinjar

    apne sukhe sukhe hath liye

    mere sar par chha jate hain

    aur main ghabra sa jata hun

    ek qabristan ki tanhai

    ek be-mani KHali rasta

    aur do panw ki KHali KHali thaki thaki si chap

    to apne-ap se bhi Dar jata hun

    jab ret ka sahra dekh ke Dar jata hai qalam ka sina bhi

    wo lamhe aksar aate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now