riDh ki haDDi ka baal
us ko dekhā
pasand kiyā
phir chāhat kī ḳhvāhish jaagī
chāhā bhī
aur phir
ḳhālī se lamhe meñ
zehn kī mez par
aise liTā diyā us ko
jaise lab meñ Table par
meñDak ko Daalā jaatā hai
ab soch rahā huuñ
us kī riiḌh kī haDDī meñ
ye baal kahāñ se aayā
us ko dekha
pasand kiya
phir chahat ki KHwahish jagi
chaha bhi
aur phir
KHali se lamhe mein
zehn ki mez par
aise liTa diya us ko
jaise lab mein Table par
meinDak ko Dala jata hai
ab soch raha hun
us ki riDh ki haDDi mein
ye baal kahan se aaya
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 118)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.