Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rishta gunge safar ka

Mazhar Imam

rishta gunge safar ka

Mazhar Imam

MORE BYMazhar Imam

    ye kis janam meñ

    ham

    dobāra mile haiñ

    ye ḳhat

    rañg

    qad

    sab mujhe jānte haiñ

    mire lams se āshnā haiñ

    maiñ bhaTkā huuñ

    kitne sarāboñ meñ sahrāoñ meñ

    ka.ī kārvāñ mujh se aage ga.e

    un ke naqsh-e-kaf-e-pā abhī mushta.il haiñ

    abhī dhuul ne un pe chādar bichā.ī nahīñ hai

    mujh se pīchhe

    na.e kārvānoñ gard uḌā rahī hai

    kuchh jiyāle javāñ

    tāza-dam tez-rau

    aur maiñ

    vaqt rahguzar vo tanhā musāfir

    jo har qāfile se alag

    rah-ravoñ se alag

    ajnabī samt

    yuuñ chal rahā hai

    ki us ke sivā koī sūrat nahīñ hai

    tahayyur se paidā masarrat ke aañsū liye

    is tarah ham mile jaise pahle kabhī mil chuke the

    kaun se kārvāñ se bhaTaktī huī

    tum dobāra idhar aa ga.ī ho

    tumheñ kaun manzil-e-zindagī talab hai

    tumhārī ragoñ meñ bhī

    merī ragoñ tarah

    kitnī sadiyoñ ḳhuuñ

    kitnī nasloñ ḳhuuñ

    maujzan hai

    aur ye saarī nasleñ

    shikasta magar ūñchī dīvār tarah istāda haiñ

    yūñhī kab talak phone par baat karte raheñge

    yūñhī fāsla jism lams

    ek rishta faqat saut-o-avāz

    ye rishta bhī hissa hai gūñge safar

    jo kab TuuT jaa.e

    kise ye pata hai

    kaash ye rishta-e-saut-o-āvāz dā.imī ho

    ki gūñge safar ke sabhī silsile aarzī haiñ

    ye kis janam mein

    hum

    dobara mile hain

    ye KHat

    rang

    qad

    sab mujhe jaante hain

    mere lams se aashna hain

    main bhaTka hun

    kitne sarabon mein sahraon mein

    kai karwan mujh se aage gae

    un ke naqsh-e-kaf-e-pa abhi mushtail hain

    abhi dhul ne un pe chadar bichai nahin hai

    mujh se pichhe

    nae karwanon ki gard uDa rahi hai

    kuchh jiyale jawan

    taza-dam tez-rau

    aur main

    waqt ki rahguzar ka wo tanha musafir

    jo har qafile se alag

    rah-rawon se alag

    ajnabi samt

    yun chal raha hai

    ki us ke siwa koi surat nahin hai

    tahayyur se paida masarrat ke aansu liye

    is tarah hum mile jaise pahle kabhi mil chuke the

    kaun se karwan se bhaTakti hui

    tum dobara idhar aa gai ho

    tumhein kaun si manzil-e-zindagi ki talab hai

    tumhaari ragon mein bhi

    meri ragon ki tarah

    kitni sadiyon ka KHun

    kitni naslon ka KHun

    maujzan hai

    aur ye sari naslen

    shikasta magar unchi diwar ki tarah istada hain

    yunhi kab talak phone par baat karte rahenge

    yunhi fasla jism ka lams ka

    ek rishta faqat saut-o-awaz ka

    ye rishta bhi hissa hai gunge safar ka

    jo kab TuT jae

    kise ye pata hai

    kash ye rishta-e-saut-o-awaz hi daimi ho

    ki gunge safar ke sabhi silsile aarzi hain

    Source:

    azadi ke bad urdu nazm (Pg. 479)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now