rubah-e-KHayal
raat kī sā'atoñ ke jangal meñ
saada kāġhaz se kheltī uñglī
ek tanhā lagī ghaḌī ke sivā
ek mub.ham sukūt hai lekin
koī shai hai jo zindagī lagī hai
merī khiḌkī meñ koī taara nahīñ
koī shai hai magar qarīb-tarīn
jo añdhere ke ghup samundar meñ
gahrī tanhā.ī meñ utartī hai
barf jaise siyāh nathunoñ se
koñpaloñ pattiyoñ ko chhūtī huī
ek rūbāh jis kī do āñkheñ
phailtī sabz sabz gahrā.ī
hoshiyār aur sitāra sī āñkheñ
is taraf us taraf bhaTaktī huiiñ
peḌ paudoñ tanoñ se bachtā huā
hoshiyārī se paañv rakhtā huā
barf par naqsh-e-pā banātā huā
garm nathunoñ kī bhaap kī badbū
khiḌkiyāñ ab bhī be-sitāra haiñ
aur ghaḌī bhī isī tarah tanhā
haañ magar mere saada kāġhaz par
harf hī harf likh gayā koī
raat ki sa'aton ke jangal mein
sada kaghaz se khelti ungli
ek tanha lagi ghaDi ke siwa
ek mubham sukut hai lekin
koi shai hai jo zindagi lagi hai
meri khiDki mein koi tara nahin
koi shai hai magar qarib-tarin
jo andhere ke ghup samundar mein
gahri tanhai mein utarti hai
barf jaise siyah nathunon se
konpalon pattiyon ko chhuti hui
ek rubah jis ki do aankhen
phailti sabz sabz gahrai
hoshiyar aur sitara si aankhen
is taraf us taraf bhaTakti huin
peD paudon tanon se bachta hua
hoshiyari se panw rakhta hua
barf par naqsh-e-pa banata hua
garm nathunon ki bhap ki badbu
khiDkiyan ab bhi be-sitara hain
aur ghaDi bhi isi tarah tanha
han magar mere sada kaghaz par
harf hi harf likh gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.