Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rudad-e-KHizan

Rabia Sultana Nashad

rudad-e-KHizan

Rabia Sultana Nashad

MORE BYRabia Sultana Nashad

    kyoñ Tiis dil meñ uThtī hai kyoñ dard se ghabrātā hai

    pahle to na thā aisā aalam ab dil kyoñ Duubā jaatā hai

    chāhat se kisī sīkhā thā ġham sahnā aur aañsū piinā

    lekin ab to har ashk-e-alam āñkhoñ se Tapak jaatā hai

    ādāb-e-mohabbat ḳhātir rāhat ġham ko samjhe haiñ to phir

    kyoñ dil se aah nikaltī hai kyoñ chakkar aa jaatā hai

    duniyā ham se aa kar sīkhe pābandī-e-rasm-o-rāh-e-vafā

    rūdād-e-ḳhizāñ dohrāte haiñ jab zikr-e-bahār aa jaatā hai

    ai sharm-e-mohabbat jaag ki ab kuchh der nahīñ rusvā.ī meñ

    pinhāñ thā jo dil ke parde meñ vo dard zabāñ tak aatā hai

    ai kaash koī us se kar ye haal dil-e-barbād kahe

    bīmār-e-ġham-e-ulfat terā hai naza.a meñ dam ghabrātā hai

    is tarah taḌapne lagtā hai rah rah ke dil 'nāshād' aksar

    jaise ki bagūla uThtā hai jaise koī tūfāñ aatā hai

    kyon Tis si dil mein uThti hai kyon dard se ji ghabraata hai

    pahle to na tha aisa aalam ab dil kyon Duba jata hai

    chahat se kisi ki sikha tha gham sahna aur aansu pina

    lekin ab to har ashk-e-alam aankhon se Tapak hi jata hai

    aadab-e-mohabbat ki KHatir rahat gham ko samjhe hain to phir

    kyon dil se aah nikalti hai kyon chakkar sa aa jata hai

    duniya hum se aa kar sikhe pabandi-e-rasm-o-rah-e-wafa

    rudad-e-KHizan dohraate hain jab zikr-e-bahaar aa jata hai

    ai sharm-e-mohabbat jag ki ab kuchh der nahin ruswai mein

    pinhan tha jo dil ke parde mein wo dard zaban tak aata hai

    ai kash koi us se ja kar ye haal dil-e-barbaad kahe

    bimar-e-gham-e-ulfat tera hai naza mein dam ghabraata hai

    is tarah taDapne lagta hai rah rah ke dil 'nashad' aksar

    jaise ki bagula uThta hai jaise koi tufan aata hai

    Source:

    Toofan-e-Gham (Pg. 68)

    • Author: Rabia Sultana Nashad
      • Publisher: New Book Society of India, New Delhi
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now