Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruhon ka hawala pyar

Saima Jabeen Mahak

ruhon ka hawala pyar

Saima Jabeen Mahak

MORE BYSaima Jabeen Mahak

    bañdhe hāthoñ meñ ham ne

    sub.h-e-nau ke charāġh uThā rakhe haiñ

    apnī āñkhoñ ko raushnī havāla de kar

    kitāb-e-hijr meñ sitāroñ ko ujaal rakhā hai

    kabhī to le ā.eñgī koī chāñd

    merī shaam chaukhaT par merī āñkheñ

    jo intizār dahlīz par sitāra banī baiThī haiñ

    kabhī to tulū-e-āftāb shab ke dahāne par

    shabnam ke qatroñ ko motī banā degā

    hai mushkil meñ jaan hamārī lekin

    zindagī chaukhaT par jiine sāmān kiye baiThe haiñ

    tum se bichhaḌ kar ham ne shah-rag nahīñ kaaTī

    tum kyā jaano shab-e-furqat ke azaab jān-levā to haiñ magar

    ishq is dhīmī aañch par

    jalne jo maza hai vo tumhāre mai-kade ke

    jaam toḌ toḌ kar bhī na milā ham ko

    dekho ye jo chār-sū vīrāniyāñ tanhā.iyāñ aur ḳhāmoshiyāñ haiñ

    ye tumhāre des se aa.ī haiñ

    ab rifāqat ke shab-o-roz itnā to haq ham par vājib hai

    ki tumhārī huī hasratoñ ko

    dil ke madfan par thoḌī jagah de deñ

    suno ham zinda haiñ zindān-e-mohabbat meñ

    jo agar ho kabhī mumkin to koī qissa vafā

    hamāre naam likh denā

    ham shahr-e-mohabbat ke Dase hue makīñ haiñ

    hamārī rūhoñ havāla bas pyaar likh denā

    hamāre dil ke madfan par yādoñ ke gulāb sajānā

    jo tumhāre shahr havā.eñ haiñ

    un ko hamārī galī pata de denā

    bandhe hathon mein hum ne

    subh-e-nau ke charagh uTha rakhe hain

    apni aankhon ko raushni ka hawala de kar

    kitab-e-hijr mein sitaron ko ujal rakha hai

    kabhi to le aaengi koi chand

    meri sham ki chaukhaT par meri aankhen

    jo intizar ki dahliz par sitara bani baiThi hain

    kabhi to tulu-e-aftab shab ke dahane par

    shabnam ke qatron ko moti bana dega

    hai mushkil mein jaan hamari lekin

    zindagi ki chaukhaT par jine ka saman kiye baiThe hain

    tum se bichhaD kar hum ne shah-rag nahin kaTi

    tum kya jaano shab-e-furqat ke azab jaan-lewa to hain magar

    ishq ki is dhimi aanch par

    jalne ka jo maza hai wo tumhaare mai-kade ke

    jam toD toD kar bhi na mila hum ko

    dekho ye jo chaar-su viraniyan tanhaiyan aur KHamoshiyan hain

    ye tumhaare des se hi aai hain

    ab rifaqat ke shab-o-roz ka itna to haq hum par wajib hai

    ki tumhaari di hui hasraton ko

    dil ke madfan par thoDi si jagah de den

    suno hum zinda hain zindan-e-mohabbat mein

    jo agar ho kabhi mumkin to koi qissa wafa ka

    hamare nam likh dena

    hum shahr-e-mohabbat ke Dase hue makin hain

    hamari ruhon ka hawala bas pyar likh dena

    hamare dil ke madfan par yaadon ke gulab sajaana

    jo tumhaare shahr ki hawaen hain

    un ko hamari gali ka pata de dena

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now