Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sabun ki Tikiya

Abid Hasan

sabun ki Tikiya

Abid Hasan

MORE BYAbid Hasan

    sābun Tikiyā

    nannhī biTiyā

    paanī meñ chhap-chhap

    kartī hai gap-shap

    paanī bahā.e chhīñTe uḌaa.e

    lo jhaag niklā

    munnū ko dekho

    vo bhaag niklā

    jab muñh ko dhulā.e

    sābun lagā.e

    munnū akelā sab ko nachā.e

    lāteñ chalā.e

    dham-dham dhamā-dham

    aañsū bahā.e

    chham-chham chhamā-chham

    munnū khaḌā hai

    kursī ke uupar

    sābun ke Dar se

    kartā hai thar-thar

    munnū ko pakḌo

    baazū meñ jakaḌo

    nalke pe laao

    tub meñ biThāo

    sābun Tikiyā

    sar par lagāo

    jab jhaag nikle

    paanī bahāo

    sābun Tikiyā sar par khaḌī hai

    munnī biTiyā kitnī baḌī hai

    sabun ki Tikiya

    nannhi si biTiya

    pani mein chhap-chhap

    karti hai gap-shap

    pani bahae chhinTe uDae

    lo jhag nikla

    munnu ko dekho

    wo bhag nikla

    jab munh ko dhulae

    sabun lagae

    munnu akela sab ko nachae

    laten chalae

    dham-dham dhama-dham

    aansu bahae

    chham-chham chhama-chham

    munnu khaDa hai

    kursi ke upar

    sabun ke Dar se

    karta hai thar-thar

    munnu ko pakDo

    bazu mein jakaDo

    nalke pe lao

    tub mein biThao

    sabun ki Tikiya

    sar par lagao

    jab jhag nikle

    pani bahao

    sabun ki Tikiya sar par khaDi hai

    munni si biTiya kitni baDi hai

    Source:

    Kaghaz Ki Kashti Aur Doosri Nazmein (Pg. 12)

    • Author: Abid Hasan
      • Publisher: Hasan Aabdeeni
      • Year of Publication: 1985

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now