Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saeban

MORE BYIftikhar Jalib

    maiñ ḳhizāñ meñ giraftār huuñ

    dekho ḳhvābīda maujoñ ḳharīdār rūhoñ

    umaDte simaTte zamānoñ se

    arz-o-samā siyāhī dāman nichoḌā hai

    lekin havāoñ ke vahm-o-gumāñ meñ nahīñ

    kaun ḳhaak se

    qatra-e-āb tābinda-motī āġhosh letā hai

    ḳhvāhish se bāhar na aa.uuñ mirī ibtidā intihā

    aaj samundar silvaT meñ tābindagī hai

    samundar ko pighlā

    batā mere siine meñ kis kis āvāz hai

    khet meñ bāġhbāñ mar chukā hai

    zamīñ ḳhūñ-chakāñ hai

    sitāre nahīñ haiñ faqat sā.ebāñ hai

    main KHizan mein giraftar hun

    dekho KHwabida maujon KHaridar ruhon

    umaDte simaTte zamanon se

    arz-o-sama ki siyahi ka daman nichoDa hai

    lekin hawaon ke wahm-o-guman mein nahin

    kaun si KHak se

    qatra-e-ab tabinda-moti ki aaghosh leta hai

    KHwahish se bahar na aaun meri ibtida intiha

    aaj samundar ki silwaT mein tabindagi hai

    samundar ko pighla

    bata mere sine mein kis kis ki aawaz hai

    khet mein baghban mar chuka hai

    zamin KHun-chakan hai

    sitare nahin hain faqat saeban hai

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 97)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now