Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sagar manthan

Saghar Mehdi

sagar manthan

Saghar Mehdi

MORE BYSaghar Mehdi

    ye merī muskān faqat merī nahīñ hai

    ye sab hai

    is duniyā saarī kaḌvī kaḌvī bāteñ

    saare dukh

    saarī kaḌvāhaT

    jīvan zahrīlī dukh bharī kahānī

    ḳhud kahtā

    ḳhud suntā huuñ

    ḳhushiyāñ sab dukh mere haiñ

    har har yug meñ

    janm liyā hai

    maiñ har yug meñ paidā hūñgā

    amrit dūñgā zahr piyūñgā

    maiñ is yug shīv-shankar huuñ

    ye meri muskan faqat meri hi nahin hai

    ye sab ki hai

    is duniya ki sari kaDwi kaDwi baaten

    sare dukh

    sari kaDwahaT

    jiwan ki zahrili dukh bhari kahani

    KHud kahta

    KHud hi sunta hun

    KHushiyan sab ki dukh mere hain

    har har yug mein

    janm liya hai

    main har yug mein paida hunga

    amrit dunga zahr piyunga

    main is yug ka shiw-shankar hun

    Source:

    Deewanjali (Pg. 64)

    • Author: Saghar Mehdi
      • Publisher: Prem Printing Press, Lucknow
      • Year of Publication: 1973
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now