Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sal-e-nau ke liye ek nazm

Iqbal Naazir

sal-e-nau ke liye ek nazm

Iqbal Naazir

MORE BYIqbal Naazir

    duā.eñ aur duāoñ se bharī

    be-ant tahrīreñ

    mujhe har saal ke in āḳhirī

    lamhoñ meñ miltī haiñ

    mere ahbāb ke nāmoñ meñ

    aksar darj hotā hai

    ḳhudā mahfūz rakkhe

    saal bhar mujh ko balāoñ se

    mujhe zahrāb meñ lipTī havā.eñ

    chhū ke na guzreñ

    mujhe maujūd ke aur aane vaale

    saal ke lamhe

    mubārak-dar-mubārak hoñ

    yahī tahrīr maiñ ahbāb ko

    vāpas huuñ lauTātā

    yahī jazbāt mere dostoñ

    ke naam hote haiñ

    magar phir vaqt ke hāthoñ

    na jaane kyā guzartī hai

    ki jo bhī tiir aatā hai

    usī jānib se aatā hai

    jahāñ se itr meñ Duubā huā

    paiġhām aaya thā

    jahāñ se saal bhar

    mahfūz rahne

    hasīñ malfūf

    mere naam aaya thā

    duaen aur duaon se bhari

    be-ant tahriren

    mujhe har sal ke in aaKHiri

    lamhon mein milti hain

    mere ahbab ke namon mein

    aksar darj hota hai

    KHuda mahfuz rakkhe

    sal bhar mujh ko balaon se

    mujhe zahrab mein lipTi hawaen

    chhu ke na guzren

    mujhe maujud ke aur aane wale

    sal ke lamhe

    mubarak-dar-mubarak hon

    yahi tahrir main ahbab ko

    wapas hun lauTata

    yahi jazbaat mere doston

    ke nam hote hain

    magar phir waqt ke hathon

    na jaane kya guzarti hai

    ki jo bhi tir aata hai

    usi jaanib se aata hai

    jahan se itr mein Duba hua

    paigham aaya tha

    jahan se sal bhar

    mahfuz rahne ka

    hasin malfuf

    mere nam aaya tha

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now