Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

salgirah

Balraj Komal

salgirah

Balraj Komal

MORE BYBalraj Komal

    dam-e-umr-e-ravāñ dā.era

    ruktā hai ik lamhe pe shāyad har baras

    vo merī paidā.ish saa.at hai

    tumhārī hamāre nanhe bachchoñ

    hamāre rishta-e-indrāj meñ

    sho.ala-e-gul se

    munavvar ġhair-rasmī ajnabī vābastagī

    jo rag-o-pai meñ musalsal ho ga.ī

    maiñ roktā huuñ bevafā lamhe ko

    paiham sīñchtā huuñ ḳhuun se is ko

    darīda uñgliyoñ se

    kaaT kar us ko khilātā huuñ maiñ dil ḳhosha-e-nāzuk

    magar ye tā.ir-e-rānā

    pareshāñ fāsloñ ke nuur rasiyā

    zamīnoñ āsmānoñ aur ḳhalāoñ

    se bhī shāyad māvarā hai

    muḳhtasar se jashn par hañstā huā

    har sarhad-e-imkāñ se merī tīrgī se

    duur jaatā hai

    falak raushnī

    vādiyoñ meñ

    muntazir hai

    koī an-jānā anokhā ḳhūbsūrat ajnabī us

    dam-e-umr-e-rawan ka daera

    rukta hai ek lamhe pe shayad har baras

    wo meri paidaish ki saat hai

    tumhaari ya hamare nanhe bachchon ki

    hamare rishta-e-indraj mein

    ya shoala-e-gul se

    munawwar ghair-rasmi ajnabi wabastagi ki

    jo rag-o-pai mein musalsal ho gai

    main rokta hun bewafa lamhe ko

    paiham sinchta hun KHun se is ko

    darida ungliyon se

    kaT kar us ko khilata hun main dil ka KHosha-e-nazuk

    magar ye tair-e-rana

    pareshan faslon ke nur ka rasiya

    zaminon aasmanon aur KHalaon

    se bhi shayad mawara hai

    muKHtasar se jashn par hansta hua

    har sarhad-e-imkan se meri tirgi se

    dur jata hai

    falak ki raushni ki

    wadiyon mein

    muntazir hai

    koi an-jaana anokha KHubsurat ajnabi us ka

    Source:

    Lambi Barish (Pg. 137)

    • Author: Balraj Komal
      • Edition: 2002
      • Publisher: Sahitya Akademi, New Delhi
      • Year of Publication: 2002

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now