Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sanp! aa kaT mujhe

Gauhar Naushahi

sanp! aa kaT mujhe

Gauhar Naushahi

MORE BYGauhar Naushahi

    sāñp! aa kaaT mujhe eḌī par

    maiñ tujhe dāna-e-gandum qasam detā huuñ

    shahr ke ūñche makānoñ pe chamaktā sūraj

    mujh se kahtā hai ki nañgā hai

    aur mirī ruuh mujhe kahtī hai

    jism ko Dhāñk mirī shahr meñ tazlīl na kar

    mujh ko ehsās hai maiñ nañgā huuñ

    sub.h ke nuur ke mānind mujhe

    koī malbūs azal se na milā

    sabz pattoñ ne sahārā na diyā

    sāñp! aa kaaT mujhe

    baḳhsh de maut malbūs mujhe

    dekh ab jism mirā

    din garmī se jhulastā hai kabhī

    aur phir raat sardī se TheThurtā hai kabhī

    aur mirī ruuh mujhe kahtī hai

    jism ko Dhāñk mirī shahr meñ tazlīl na kar

    sāñp! aa kaaT mujhe eḌī par

    aur mire jism ko ghultā huā tāñbā kar de

    sub.h nuur jise dekh ke sharmā jaa.e

    aur mirī ruuh kahe

    ab tujhe maut nahīñ aa.egī

    maiñ tujhe dāna-e-gandum qasam detā huuñ

    sanp! aa kaT mujhe eDi par

    main tujhe dana-e-gandum ki qasam deta hun

    shahr ke unche makanon pe chamakta suraj

    mujh se kahta hai ki tu nanga hai

    aur meri ruh mujhe kahti hai

    jism ko Dhank meri shahr mein tazlil na kar

    mujh ko ehsas hai main nanga hun

    subh ke nur ke manind mujhe

    koi malbus azal se na mila

    sabz patton ne sahaara na diya

    sanp! aa kaT mujhe

    baKHsh de maut ka malbus mujhe

    dekh ab jism mera

    din ki garmi se jhulasta hai kabhi

    aur phir raat ki sardi se TheThurta hai kabhi

    aur meri ruh mujhe kahti hai

    jism ko Dhank meri shahr mein tazlil na kar

    sanp! aa kaT mujhe eDi par

    aur mere jism ko ghulta hua tanba kar de

    subh ka nur jise dekh ke sharma jae

    aur meri ruh kahe

    ab tujhe maut nahin aaegi

    main tujhe dana-e-gandum ki qasam deta hun

    Source:

    Nai Nazm ka safar (Pg. 222)

    • Author: Khalilur Rahman Azmi
      • Edition: 2011
      • Publisher: NCPUL, New Delhi
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now