Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saz-e-KHamoshi

Arsh Malsiyani

saz-e-KHamoshi

Arsh Malsiyani

MORE BYArsh Malsiyani

    Interesting Fact

    -1935

    falak par anjum-e-tābāñ the masrūf-e-daraḳhshānī

    barastā thā zamīñ par āsmāñ se nuur paanī

    shuā.eñ apnā sīmīñ-jāl duniyā par bichhātī thiiñ

    dar-o-dīvār par paḌ kar tilsim-e-shab miTātī thiiñ

    kuchh aise oḌh rakhī thī fazā ne nuur chādar

    gumāñ hotā thā jis par ye ki hai billor chādar

    liye hāthoñ meñ neze chāñd kirneñ jhapaTtī thiiñ

    siyah-poshān tārīkī har saf ko ulaTtī thiiñ

    syāhī kahīñ ashjār ke saa.e meñ Derā thā

    kahīñ tārīk ġhāroñ meñ milā us ko baserā thā

    jo manzar thā vo sīmīñ thā jo nazāra thā sīmābī

    manāne ko thī fitrat aaj goyā jashn-e-mahtābī

    baḌhe aate the lashkar nuur ke kirnoñ ko faujeñ thiiñ

    samundar zor par thā aur tūfāñ-ḳhez maujeñ thiiñ

    zamīñ par āsmāñ par koh par vaadī pe dariyā par

    chaman par shahar par bastī pe vīrāne pe sahrā par

    masājid aur manādir hoTaloñ aur qahva-ḳhānoñ par

    ġharīboñ ke gharoñ par aur amīroñ ke makānoñ par

    samundar ke kināroñ aur pahāḌoñ chaTTānoñ par

    jahāzoñ ke nishānoñ kashtiyoñ ke bādbānoñ par

    ġharaz har jism par har jism par thā nuur aalam

    jahāñ ke zarre zarre par thā barq-e-nūr aalam

    nazar ke sāmne thā is tarah nazāra-e-fitrat

    ki fitrat jhūltī hai aaj ḳhud gahvarā-e-fitrat

    falak naqqāshiyoñ ke rañg jab fitrat meñ bhartā thā

    maiñ in naqqāshiyoñ meñ justajū-e-sher kartā thā

    manāzir dekh kar maiñ ho rahā thā mahv-e-mad-hoshī

    mire kānoñ meñ aatī thī sadā-e-sāz-e-ḳhāmoshī

    falak par anjum-e-taban the masruf-e-daraKHshani

    barasta tha zamin par aasman se nur ka pani

    shuaen apna simin-jal duniya par bichhati thin

    dar-o-diwar par paD kar tilsim-e-shab miTati thin

    kuchh aise oDh rakhi thi faza ne nur ki chadar

    guman hota tha jis par ye ki hai billor ki chadar

    liye hathon mein neze chand ki kirnen jhapaTti thin

    siyah-poshan tariki ki har saf ko ulaTti thin

    syahi ka kahin ashjar ke sae mein Dera tha

    kahin tarik ghaaron mein mila us ko basera tha

    jo manzar tha wo simin tha jo nazara tha simabi

    manane ko thi fitrat aaj goya jashn-e-mahtabi

    baDhe aate the lashkar nur ke kirnon ko faujen thin

    samundar zor par tha aur tufan-KHez maujen thin

    zamin par aasman par koh par wadi pe dariya par

    chaman par shahar par basti pe virane pe sahra par

    masajid aur manadir hoTalon aur qahwa-KHanon par

    gharibon ke gharon par aur amiron ke makanon par

    samundar ke kinaron aur pahaDon ki chaTTanon par

    jahazon ke nishanon kashtiyon ke baadbanon par

    gharaz har jism par har jism par tha nur ka aalam

    jahan ke zarre zarre par tha barq-e-nur ka aalam

    nazar ke samne tha is tarah nazara-e-fitrat

    ki fitrat jhulti hai aaj KHud gahwara-e-fitrat

    falak naqqashiyon ke rang jab fitrat mein bharta tha

    main in naqqashiyon mein justaju-e-sher karta tha

    manazir dekh kar main ho raha tha mahw-e-mad-hoshi

    mere kanon mein aati thi sada-e-saz-e-KHamoshi

    Source:

    Kulliyat-e-Arsh (Pg. 230)

    • Author: Arsh Malsiyani
      • Publisher: Ali Imran Chaudhary
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now