Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sabhi waise ka waisa hai

Sheen Kaaf Nizam

sabhi waise ka waisa hai

Sheen Kaaf Nizam

MORE BYSheen Kaaf Nizam

    sabhī kuchh vaise vaisā hai

    kahīñ kuchh bhī nahīñ badlā

    duur se

    āvāz detīñ

    mehrābeñ

    dhvajā.eñ

    nukīle aur gol gumbad

    ġhuTarġhūñ karte kabūtar

    TūTte bikharte

    qile

    munhadim burjiyoñ pe

    ugī jalī ghaas

    barsātī naale naaf se nikaltī

    pagDanDī

    paar koThār

    gāDoliyā lohār

    ghanā

    chhitnār

    peḌ pīpal

    ūñghtī alsā.ī saḌak

    makān pahlī manzil zang-ḳhurda salāḳh se

    munqasim ḳhvāb-gūñ

    khiḌkī

    TūTtī girtī shaam raushnī meñ

    sayyāl sharāroñ

    TeḌhī meḌhī lakīroñ ko

    dekhtī

    chup-chāp

    sūraj pahlī kiran

    gaDmaD lakīroñ ko sikhātī

    sabhi kuchh waise ka waisa hai

    kahin kuchh bhi nahin badla

    dur se

    aawaz detin

    mehraben

    dhwajaen

    nukile aur gol gumbad

    ghuTarghun karte kabutar

    TuTte bikharte

    qile ki

    munhadim burjiyon pe

    ugi jali ghas

    barsati nale ki naf se nikalti

    pagDanDi

    par koThaar

    gaDoliya lohaar

    ghana

    chhitnar

    peD pipal ka

    unghti alsai saDak

    makan ki pahli manzil ki zang-KHurda salaKH se

    munqasim KHwab-gun

    khiDki

    TuTti girti sham ki raushni mein

    sayyal shararon ki

    TeDhi meDhi lakiron ko

    dekhti

    chup-chap

    suraj ki pahli kiran

    gaDmaD lakiron ko sikhati

    Source :
    • Book : Bayazain Kho Gayee Hain (Pg. 62)
    • Author : Sheen Kaaf Nizam
    • Publication : Vag Devi Parkashan, Biconer (Rajisthan) (1997)
    • Edition : 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now