Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sada-e-gumbad-e-be-rauzan-o-dar

Aziz Qaisi

sada-e-gumbad-e-be-rauzan-o-dar

Aziz Qaisi

MORE BYAziz Qaisi

    kaisī āvāz hai

    koī kahtā hai

    ye dasht maujūd-o-mash.hūr-o-mauhūm bas

    had idrāk-o-ehsās-o-āvāz tak nahīñ

    chashm-o-dil ye taa.ir jise

    sair-e-parvāz samjhe ho majbūr hai

    musht-e-par sar-burīda-o-pāband

    us sarmāya hai jis pe maġhrūr hai

    tā-ba-hadd-e-ḳhirad tā-ba-hadd-e-junūñ

    jo bhī hai hech-o-be-māya hai

    kyā ġharaz is se

    ye kyā hai kaisā hai kab se hai kab tak rahegā

    use bhuul jaao ki tum ḳhud harīf-e-ḳhudāvand-e-āfāq ho

    in savālāt meñ ḳhud tumhārī tauhīn hai

    tum dil-e-arsh-e-āsār ā.īna le ke aa.e ho

    jis meñ ka.ī rañg

    tez-rau sust-rau shoḳh maddham sajal mustaqil muttasil

    muntashir munfa.il munqasim saada pechīda mub.ham gurāb-i-subuk

    nek-o-manhūs

    maujūd-o-mash.hūr-o-mauhūm parchhā.iyāñ

    yuuñ guzartī haiñ

    jaise koī

    dhīre dhīre se palkoñ ko chhūtā rahe ḳhvāb meñ

    kaun hai kaun hai

    māvarā-e-ḳhirad

    māvarā-e-junūñ

    māvarā-e-nazar

    māvarā-e-nafas

    muntazir muztarib

    apnī sūrat dikhāne ko bechain hai

    kaisī āvāz hai jo azal se ta.āqub meñ hai

    mere lahje īmān us ke taḳhātub meñ hai

    ye kahīñ merī āvāz to nahīñ

    maiñ mujhī ko sadā de rahā huuñ baḌī der se

    baḌī duur se

    maiñ apnā harīf-e-azal

    maiñ apnā harīf-e-abad

    mujh ko merā pata do ki maiñ

    apnī āvāz guuñj huuñ

    kaisi aawaz hai

    koi kahta hai

    ye dasht maujud-o-mashhur-o-mauhum bas

    had idrak-o-ehsas-o-awaz tak hi nahin

    chashm-o-dil ka ye tair jise

    sair-e-parwaz samjhe ho majbur hai

    musht-e-par sar-burida-o-paband hi

    us ka sarmaya hai jis pe maghrur hai

    ta-ba-hadd-e-KHirad ta-ba-hadd-e-junun

    jo bhi hai hech-o-be-maya hai

    kya gharaz is se

    ye kya hai kaisa hai kab se hai kab tak rahega

    use bhul jao ki tum KHud harif-e-KHudawand-e-afaq ho

    in sawalat mein KHud tumhaari hi tauhin hai

    tum dil-e-arsh-e-asar ka aaina le ke aae ho

    jis mein kai rang ki

    tez-rau sust-rau shoKH maddham sajal mustaqil muttasil

    muntashir munfail munqasim sada pechida mubham gurab-i-subuk

    nek-o-manhus

    maujud-o-mashhur-o-mauhum parchhaiyan

    yun guzarti hain

    jaise koi

    dhire dhire se palkon ko chhuta rahe KHwab mein

    kaun hai kaun hai

    mawara-e-KHirad

    mawara-e-junun

    mawara-e-nazar

    mawara-e-nafas

    muntazir muztarib

    apni surat dikhane ko bechain hai

    kaisi aawaz hai jo azal se taaqub mein hai

    mere lahje ka iman us ke taKHatub mein hai

    ye kahin meri aawaz hi to nahin

    main mujhi ko sada de raha hun baDi der se

    baDi dur se

    main hi apna harif-e-azal

    main hi apna harif-e-abad

    mujh ko mera pata do ki main

    apni aawaz ki gunj hun

    Source:

    Aainaa Dar Aainaa (Pg. 29)

    • Author: Aziz Qaisi
      • Edition: 1972
      • Publisher: Maktaba Saba Hayderabad
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now