Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sadhae hue parinde

Akhtar Husain Jafri

sadhae hue parinde

Akhtar Husain Jafri

MORE BYAkhtar Husain Jafri

    savāl bachche ne jo kiye the

    javāb un dabī zabāñ se vahī diyā hai jo mujh ko ajdād se milā thā

    vahī purāne savāl us ke

    zamīñ agar ḳhaam hai to us par hamāre puḳhta makān kyuuñ haiñ?

    agar gulāboñ ko rañg ḳhurshīd se milā hai

    to dhuup husn kaun se phuul atā hai?

    vahī purāne savāl us ke

    vahī purānā javāb merā

    vahī girah vārid-e-chaman sadā-e-parvāz par lagā hai

    jis halqa mirī zabāñ par paḌā huā hai

    mujhe yaqīñ hai ki ye nayā ham-safīr merā

    mirī tarah se zamīñ ke shīshe shash-jihat se na aage parvāz kar sakegā

    vo ek mīThī sadā naddī

    jo raat din jalī zamīnoñ se duur sarsabz jañgaloñ meñ ravāñ hai naġhme

    koī sadhāyā huā parinda na us ke sar-basta sāhiloñ par utar sakegā

    sawal bachche ne jo kiye the

    jawab un ka dabi zaban se wahi diya hai jo mujh ko ajdad se mila tha

    wahi purane sawal us ke

    zamin agar KHam hai to us par hamare puKHta makan kyun hain?

    agar gulabon ko rang KHurshid se mila hai

    to dhup ka husn kaun se phul ki ata hai?

    wahi purane sawal us ke

    wahi purana jawab mera

    wahi girah warid-e-chaman ki sada-e-parwaz par laga di hai

    jis ka halqa meri zaban par paDa hua hai

    mujhe yaqin hai ki ye naya ham-safir mera

    meri tarah se zamin ke shishe ki shash-jihat se na aage parwaz kar sakega

    wo ek miThi sada ki naddi

    jo raat din ki jali zaminon se dur sarsabz jangalon mein rawan hai naghme

    koi sadhaya hua parinda na us ke sar-basta sahilon par utar sakega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now