sahar
shab-zād añdhere kamre ke
shab-gīr haiñ pariyāñ nīñdoñ kī
shab-dār khuleñgī palkeñ kab
shab-zor fusūñ kab TūTegā
shab-kār ye parde rauzan ke
shab-bhar ke liye the rauzan par
shab-toḌ koī to haath uThe
aur khīñch le shab ke māthe se
vo parda-e-shab jo haa.il hai
mābain-e-shab-e-dījūr-o-sahar
phir aap añdherā sharmā.e
phir nuur kā muzhda aa jaa.e
shab-zad andhere kamre ke
shab-gir hain pariyan nindon ki
shab-dar khulengi palken kab
shab-zor fusun kab TuTega
shab-kar ye parde rauzan ke
shab-bhar ke liye the rauzan par
shab-toD koi to hath uThe
aur khinch le shab ke mathe se
wo parda-e-shab jo hail hai
mabain-e-shab-e-dijur-o-sahar
phir aap andhera sharmae
phir nur ka muzhda aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.