Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sailab

MORE BYAazam Khursheed

    paanī gahrā

    jaane us meñ kitne rang the

    utar gayā maiñ

    ThanDā paanī gadlā paanī

    bahtā paanī saa.eñ saa.eñ

    bachche us meñ khel rahe the

    lakḌiyāñ us par jhuul rahī thiiñ

    ghaḌā kahīñ se bahtā aaya

    maiñ ne dekhā

    sohnī us se khel rahī thī

    bachchoñ meñ se ik bolā

    dekho yaar

    vo vo dekho

    chhappar kaise Duub rahā hai

    pani gahra

    jaane us mein kitne rang the

    utar gaya main

    ThanDa pani gadla pani

    bahta pani saen saen

    bachche us mein khel rahe the

    lakDiyan us par jhul rahi thin

    ghaDa kahin se bahta aaya

    main ne dekha

    sohni us se khel rahi thi

    bachchon mein se ek bola

    dekho yar

    wo wo dekho

    chhappar kaise Dub raha hai

    Source:

    Lafz Chehre (Pg. 63)

    • Author: Aazam Khursheed
      • Publisher: Salman Khan Lodhi
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now