Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samita-paTil

Ghulam Mohammad Qasir

samita-paTil

Ghulam Mohammad Qasir

MORE BYGhulam Mohammad Qasir

    dil ke mandar meñ ḳhushbū hai lobān kii, ghanTiyāñ baj uThīñ, dev-dāsī thī vo

    kitne sarkash añdheroñ meñ jaltī rahī dekhne meñ to mash.al zarā thī vo

    nuur o naġhma rim-jhim phuvāroñ tale muskurātī huī ik udāsī thī vo

    pāniyoñ farāvāniyoñ meñ ravāñ us hairāniyāñ kitnī pyāsī thī vo

    husn-e-insāñ se fitrat sargoshiyāñ ghul ga.iiñ tere lahje jhankār meñ

    fan takmīl sachchā sarāpā tirā, be-zabānī ko laayā jo iz.hār meñ

    muddatoñ tak numā.ish ḳhvāhish rahī zindagī tab Dhalī tere kirdār meñ

    jo thī zinda mohabbat buniyād par vaqt ne chun diyā us ko dīvār meñ

    dhuup har ruup meñ, ret har khet meñ, fasl jazbāt par ḳhushk-sālī rahe

    do ghaḌī dil kisī ke ḳhayāloñ meñ gum aur phir umr bhar be-ḳhayālī rahe

    aa.ina ab tarastā rahe aks ko aur nazar raushnī savālī rahe

    mere hisse ye aañkh bhar āsmāñ jagmagāte sitāre se ḳhālī rahe

    dil ke mandar mein KHushbu hai loban ki, ghanTiyan baj uThin, dew-dasi thi wo

    kitne sarkash andheron mein jalti rahi dekhne mein to mashal zara si thi wo

    nur o naghma ki rim-jhim phuwaron tale muskuraati hui ek udasi thi wo

    paniyon ki farawaniyon mein rawan us ki hairaniyan kitni pyasi thi wo

    husn-e-insan se fitrat ki sargoshiyan ghul gain tere lahje ki jhankar mein

    fan ki takmil sachcha sarapa tira, be-zabani ko laya jo izhaar mein

    muddaton tak numaish ki KHwahish rahi zindagi tab Dhali tere kirdar mein

    jo thi zinda mohabbat ki buniyaad par waqt ne chun diya us ko diwar mein

    dhup har rup mein, ret har khet mein, fasl jazbaat par KHushk-sali rahe

    do ghaDi dil kisi ke KHayalon mein gum aur phir umr bhar be-KHayali rahe

    aaina ab tarasta rahe aks ko aur nazar raushni ki sawali rahe

    mere hisse ka ye aankh bhar aasman jagmagate sitare se KHali rahe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now