Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samjhauta

Tanha Timmapuri

samjhauta

Tanha Timmapuri

MORE BYTanha Timmapuri

    dar-e-gul pe sūraj dastak se pahle

    sajā lūñgā apnī jabīñ par

    ga.ī raat ḳhunkiyāñ

    sā.atoñ muqaddar meñ hai tishnagī

    kaise in.aam shabnam jur.at karūñ

    sharmsārī se lauTūñ ye mumkin nahīñ

    ho sake to abhī

    shab-e-rafta saugand ko bhuul kar

    titliyoñ ke sabhī zañg chhūne chalūñ

    yuuñ

    na.e din ke hamrāh jiine chalūñ

    dar-e-gul pe suraj ki dastak se pahle

    saja lunga apni jabin par

    gai raat ki KHunkiyan

    saaton ki muqaddar mein hai tishnagi

    kaise inam shabnam ki jurat karun

    sharmsari se lauTun ye mumkin nahin

    ho sake to abhi

    shab-e-rafta ki saugand ko bhul kar

    titliyon ke sabhi zang chhune chalun

    yun

    nae din ke hamrah jine chalun

    Source:

    Chhalni Chhalni Saibaan (Pg. 98)

    • Author: Tanha Timmapuri
      • Publisher: Modern Publishing House, Daryaganj, New Delhi
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now