Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samundar ki jaanib se aati hawa mein

Sameena Raja

samundar ki jaanib se aati hawa mein

Sameena Raja

MORE BYSameena Raja

    kabhī nīlgūñ āsmāñ ke tale

    sabz sāhil pe milne va.ada huā thā

    samundar kisī ḳhvāb ḳhushnumā thā

    samundar ke pahlū meñ

    shahr-e-dil-afroz hamhama thā

    ye shahr aaj ashkoñ meñ Duubā huā hai

    yahāñ se vahāñ tak

    har ik rahguzar par

    ik aaseb sāmnā hai

    nigāhoñ ke aage dhuāñ hai

    samundar kahāñ hai

    samundar ke sāhil pe milne va.ada huā thā

    koī aaj bhī us bulāve ummīd meñ

    ḳhud se rūThā huā hai

    koī be-qarārī ke sāhil pe

    āñkheñ bichhā.e khaḌā hai

    koī rañj oḌhe hue so rahā hai

    koī ḳhauf taane hue jāgtā hai

    koī be-karāñ pyaas meñ Dūbtā hai

    koī aas ke pāniyoñ ko

    abas jhāgtā hai

    ajab us zamīñ fazā hai

    ajab aaj rañg-e-falak hai

    samundar jānib se aatī havā meñ

    lahū mahak hai

    kabhi nilgun aasman ke tale

    sabz sahil pe milne ka wada hua tha

    samundar kisi KHwab sa KHushnuma tha

    samundar ke pahlu mein

    shahr-e-dil-afroz ka hamhama tha

    ye shahr aaj ashkon mein Duba hua hai

    yahan se wahan tak

    har ek rahguzar par

    ek aaseb ka samna hai

    nigahon ke aage dhuan hai

    samundar kahan hai

    samundar ke sahil pe milne ka wada hua tha

    koi aaj bhi us bulawe ki ummid mein

    KHud se ruTha hua hai

    koi be-qarari ke sahil pe

    aankhen bichhae khaDa hai

    koi ranj oDhe hue so raha hai

    koi KHauf tane hue jagta hai

    koi be-karan pyas mein Dubta hai

    koi aas ke paniyon ko

    abas jhagta hai

    ajab us zamin ki faza hai

    ajab aaj rang-e-falak hai

    samundar ki jaanib se aati hawa mein

    lahu ki mahak hai

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    Samundar ki janib se udti hawa mein Azra Naqvi

    Source:

    Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 490)

    • Author: Munavvar Jameel
      • Edition: 2000
      • Publisher: Haji Haneef Printer Lahore
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now